Daily Calendar Hadiths - 28 December 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Raaste se takleef dene waali cheez ko hata dena sadqa (sawaab ki cheez) hai”.* [Book of Bukhari, 2989]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Sab se achchha aadmi woh hai, jo achchhi baaton ka hukm dene waala aur buri baaton se rokne waala ho”.* [Book of Sho'bul Imaan, 7950]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
 Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya : *”Bhali baat sikhaana behtar hai khaamooshi se aur khaamooshi behtar hai buri baat sikhaane se”.* [Book of Sho'bul Imaan, 4993]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Agar tujh mein 4 cheezein ho toh duniya ki kisi cheez ke na hone ka afsos nahi hai : (1)Amaanat ki hifaazat (2)Baat mein sachchaai (3)Achchi aadat (4)Paakeeza rozi”.* [Book of Sho'bul Imaan, 5258]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Jab tum log khaane ke liye baithho, to chappal utaar liya karo, kyun ke yeh cheez tumhaare pairon ke liye raahat ka sabab hai”.* [Book of Kanzul Ummaal, 40726]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80