Daily Calendar Hadiths - 30 December 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Neki ka badla ehsaan wa ikraam ke siwa aur kya ho sakta hai?”.* [Quran, Chapter/Surah-e-Rahman: Verse/Ayat no. 60]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Pahelwaan woh nahein hai, jo saamne waale ko pachhaad de, balke pahelwaan haqeeqat mein woh hai, jo gusse ke waqt apne nafs (aap) par qaabu rakhe”.* [Book of Bukhari, 6114]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
 Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Jo shakhs aisa raasta chale, jis ka maqsad ilm ki talaash ho, toh Allah Ta'ala us ke liye jannat ka raasta aasaan kar deinge”.* [Book of Muslim, 6853]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Jo shakhs zulm-o-ziyaadati ke taur par aisa (qatal wa khoon) karega toh hum us ko aag (jahannam) mein daakhil kareinge”.* [Quran, Chapter/Surah-e-Nisa: Verse/Ayat no. 30]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”2 gunaah aise hain jin ki saza Allah Ta'ala dunya hi mein jaldi de dete hain. (1) Zulm (2) Maan baap ki naafarmaani”.* [Book of Jaamiul Ahaadees, 583]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80