Daily Calendar Hadiths - 31 December 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Aye Insaano aur Jinnato! Tum apne Rab ki kin kin ne'amaton ko jhutlaaoge?”.* [Quran, Chapter/Surah-e-Rahman: Verse/Ayat no. 34]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Aapas mein ek doosre ka maal naahaq tareeqon se na khaao”.* [Quran, Chapter/Surah-e-Baqarah: Verse/Ayat no. 188]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
 Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Gaali galoch karne waale donon shaitaan hain, jo ek doosre par bohtaan (ilzaam) lagaate hain aur jhoot bolte hain”.* [Book of Musnad-e-Ahmad: Hadees No. 17483]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Mere baad Mujhe tum logon ke baare mein jis cheez ka sab se ziyaada dar hai, woh duniya ka banaao singaar hai, jo tum par khol diya jaayega”.* [Book of Bukhari, 1465]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Beshak shaitaan tumhaara dushman hai, to tum bhi use dushman hi samjho”.* [Quran, Chapter/Surah-e-Faatir: Verse/Ayat no. 6]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80