Posts

Showing posts from November, 2022

Daily Calendar Hadiths - 30 November 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Murde par rona chillaana jaahiliyat ke kaamon mein se hai”.* [Book of Ibne Maajah, 1582] https://youtu.be/WmNXLIT0aNQ •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Tum sab mein mujhe ziyaada muhabbat us shakhs se hai, jis ke akhlaaq (character) ziyaada achchhe hain”.* [Book of Bukhari, 3759] https://youtu.be/jCpLAdTHbdQ •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►   Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Jo log apne maal Allah ke raaste mein kharch karte hein phir kharch karne ke baad na ehsaan jatlaate hain aur na koi takleef pohchaate hain, woh apne parwardigaar ke paas apna sawaab paayega ”.* [Al-Quran, Chapter/Surah-e-Baqarah, Verse/Ayat no. 262] https://youtu.be/ugQ3MQ-XDqQ •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jis shakhs ko ilm seekhte huwe maut aaja

Daily Calendar Hadiths - 29 November 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  *"Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne khade ho kar paani peene se mana farmaya hai."* [Book of Ibne Maajah, 3424] https://youtu.be/jVazPG4mT3s •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Apni zabaan par qaabu rakho. (kisi ko takleef pahonchaane waali baat mat bolo)”.* [Book of Tirmizi, 2406] https://youtu.be/KinXBG4LhNk •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►   Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Aye logon! Zameen ki halaal paakeezah cheezein khaao aur shaitaan ke naqshe qadam par na chalo, yaqeen jaano ke woh tumhaare liye ek khula dushman hai”. * [Al-Quran, Chapter/Surah-e-Baqarah, Verse/Ayat no. 168] https://youtu.be/x6-sg_hmUwI •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Be shak yeh Qur'aan woh raasta dikhaata hai jo sab se ziyaada seedha hai”.* [Al-Quran, Chapter/Surah-e-Bani Israaeel, Verse/Ayat

Islam mein nay-nayi baatein

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “Islam mein nay-nayi baatein…” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Umm Salma (radi Allahu anha) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Main tumhara pesh-khaima hounga hauz par; to tum hoshiyar raho, koi tum mein se aisa na ho mere pass aaye phir hataaya jaaye, jaisey bhatka hua Oont hataaya jaata hai. Main kahunga: ‘ye kyun hataaye jatey hain?’ Jawab milega: ‘tumhey maloom nahi, unhoney nayi-nayi baatein nikalee tumharey baad (tarah tarah ki bidatein, aaitqad aur amal mein)’. Main kahunga: to ‘dur ho’.” * [Sahih Muslim, Jild 6, 5974] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): उम्म सलमा (रदी अल्लाहु अन्हा) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - * “मैं तुम्हारा पेश-ख़ैमा होऊंगा हौज़ पर; तो तुम होशियार रहो, कोई तुम मैं से ऐसा ना हो मेरे पास आये फिर हटाया जाए, जैसे भटका हुआ ऊँट हटाया जाता है। मैं कहूंगा: ‘ये क्यों हटाए जाते हैं?

Daily Calendar Hadiths - 28 November 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Allah Ta'ala hi ne aasmaan ko buland kiya”.* [Al-Quran, Chapter/Surah-e-Rahman, Verse/Ayat no. 07] https://youtu.be/srbnfchBZiQ •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  *“ Jis shakhs mein amaanatdaari nahein, us mein imaan nahein”. * [Book of Sho'abul Imaan, 4354] https://youtu.be/BS2nU8bfk7U   •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►   Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  *“ Rozana jab Allah ke bande subha ko uthhte hain, to 2 farishte aasmaan se utarte hain, un mein se ek kehta hai: Aye Allah (achchhe kaamon mein) Kharch karne waale ko aur maal ataa farma, doosra kehta hai: Aye Allah! Maal ko rok kar rakhne waale ka maal barbaad farma”.* [Book of Bukhari, 1442] https://youtu.be/OV2TT4NDjVo •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Tum qabron

Aqal walon ke liye Allah ki nishaniyan…

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-Al-Quran: * “Aqal walon ke liye Allah ki nishaniyan…” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran: * “Beshak, aasmano aur zameen ke paida karne mein, aur raat aur din ke badalne mein, aur jahazon mein jo dariya mein logon ko fayda pahuchaney wali cheezain lekar chalte hain, aur us pani mein jisey Allah ne aasman se naazil kiya hai phir us sey murda zameen ko zinda karta hai, aur usmein har qism ke chalney waley jaanwar failata hai, aur hawaon ke badlaney mein aur badal mein, jo aasman aur zameen ke darmiyan hukm ka tabey hai, Albatta (in sabhi mein) Aqal Walon ke liye nishaniyan hain.” * [Al Quran, Surah Al Baqara (2), Ayat 164] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ अल क़ुरान: * “बेशक, आसमानो और ज़मीन के पैदा करने में, और रात और दिन के बदलने में, और जहाज़ों में जो दरिया में लोगों को फायदा पहुंचने वाली चीज़ें लेकर चलते हैं, और उस पानी में जिसे अल्लाह ने आसमान से नाज़िल किया है फिर उस से मुर्दा ज़मीन को ज़िंदा करता है, और उसमें हर क़िस्म के चलने वाले जानवर

Gunaah aur Zulm ki baaton mein kisi ki madad na karo

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al-Quran: *“ Gunaah aur Zulm ki baaton mein kisi ki madad na karo .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran: *" Neki aur parhaizgaari ke kaamo mein ek dusrey ki madad kiya karo aur gunaah aur zulm ki baaton mein madad na karo. Aur Allah se daro; beshaq Allah ka azaab sakht hai ".* [Al-Quran, Surah Al-Maeda(5), Ayat-2] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ अल क़ुरान : *" नेकी और परहेज़गारी के कामो में एक दूसरे की मदद किया करो और गुनाह और जुल्म (ज्यादती) कि बातो में किसी की मदद न करो और अल्लाह से डरते रहो (क्योंकि) अल्लाह तो यक़ीनन बड़ा सख्त अज़ाब वाला है । "* [अल क़ुरान, सुरह अल-मैइदह  (13), आयत-2] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran: *“ Do not help one another in sin and transgression. ”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Al Quran (English): *" Help you one another in Al-Birr and At-Taqwa (virtue, righteousness and piety); but do not help one another in sin and transgression. And fear Allah. Verily, Allah is severe in Punishmen t".* [Al Quran, Surah Maida

Daily Calendar Hadiths - 27 November 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: *“Jab bimaari ko sahi dawa pahonch jaati hai, to Allah Ta’ala ke hukm se bimaari theek ho jaati hai”.* [Book of Muslim, 5741] https://youtu.be/Stp9wd0emIo •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Tum log be zabaan jaanwar ke silsile mein Allah se daro, us ko achchhe tareeqe se khilaao aur aaraam se sawaari karo”.* [Book of Abu Dawood, 2548] h ttps://youtu.be/mGgB2T6vSqk •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►   Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Allah Ta’ala farmaate hain: Jab main duniya waalon mein se apne kisi momin bande ka koi azeez le leta hoon aur woh sabr karta hai, to us ke liye siwaaye Jannat ke mere paas koi ajr nahin hai”.* [Book of Bukhari, 6424] https://youtu.be/_gIAMJZsnXs •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“J

Neik kaam ki Qubuliyat ke liye Dua

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Al-Quran Dua: * “Neik kaam ki Qubuliyat ke liye Dua.” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• --- * رَبَّنَا تَقَبَّلْ مِنَّا ۖإِنَّكَ أَنتَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ * --- * Rabbana Taqabbal Minna Innaka Antas-Sameeul Alim. * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran: * “Aur jab Ibrahim aur Ismaeel (Alaihis salam) Baitullah ki bunyadien unchi kar rahe they (to ye dua padhte ja rahe they) 'Eh RABB humse ye khidmat Qubul farma beshak tu sunne wala aur janne wala hai'." * [Al Quran, Surah Al-Baqarah (2), Aayat 127] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ अल क़ुरान: * “और जब इब्राहिम और इस्माईल अलैही सलाम बैतुल्लाह की बुनियादें उँची कर रहे थे ( तो ये दुआ पढ़ते जा रहे थे) एह रब हमसे  ये खिदमत क़ुबूल फरमा बेशक तू सुनने वाला और जानने वाला है ।" * [अल क़ुरान, सुरह अल-बक़रह (2), आयत 127] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Al-Quran: * “Supplication/Dua for the acceptance of your Good Deeds.” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran: * “And (remember) when Ibrahim (Abraham) and (his son) Isma

Daily Calendar Hadiths - 26 November 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ):  *“ Apne bhai se muskura kar milne ka sawaab sadqe ke baraabar hai".* [Book of Tirmizi, 1956] https://youtu.be/2cM1MiyDu4s •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: *“Jo banda (kisi ko) maaf kar deta hai, Allah us ke badle mein us ki izzat badha deta hai".* [Book of Muslim, 6757] https://youtu.be/QprJA8k7IhI •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►   Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *"Tum gawaahi ko mat chhupaao aur jo shakhs gawaahi ko chhupaaye bila shubah us ka dil gunehgaar hoga aur jo amal bhi tum karte ho Allah Ta'ala use khoob jaanta hai".* [Quran, Chapter/Surah Baqarah: Verse/Ayat no. 283 ] https://youtu.be/fDdY7WLTXbA •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: *“Jis ne pahaad se gir kar khudkushi ki woh jahannam mein hamesha hamesh