Daily Calendar Hadiths - 27 November 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: *“Jab bimaari ko sahi dawa pahonch jaati hai, to Allah Ta’ala ke hukm se bimaari theek ho jaati hai”.* [Book of Muslim, 5741]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Tum log be zabaan jaanwar ke silsile mein Allah se daro, us ko achchhe tareeqe se khilaao aur aaraam se sawaari karo”.* [Book of Abu Dawood, 2548]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
 Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Allah Ta’ala farmaate hain: Jab main duniya waalon mein se apne kisi momin bande ka koi azeez le leta hoon aur woh sabr karta hai, to us ke liye siwaaye Jannat ke mere paas koi ajr nahin hai”.* [Book of Bukhari, 6424]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jo log naap tol mein kami karte hain, woh log qahat- saali (baarish ka na hona), pareshaaniyon aur baadshaah ke zulm ka shikaar ho jaate hain”.* [Book of Ibn-e-Maajah, 4019]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Ae jawanoo ki jamaat! Tum mein se jo shaadi karne ki istetat rakhta ho woh shadi kar le, yeh nigahon ko jhukanay aur sharmgah ki hifazat karne mein (doosri cheezon ki nisbat) barkar hai, aur jo istetat na paye, woh khud par rozay ko laazim kar le, yeh is ke liye is ki khwahish ko qata (kam) karne wala hai”.* [Book of Muslim, 3400]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
-----Please visit our NEW BlogSpot 

*WhatsApp Groups*

*BlogSpot:*

*Telegram:*


► *LIKE, FOLLOW & SHARE this Page:*


•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *Subscribe to our Youtube channels:*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80