Daily Calendar Hadiths - 28 November 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Allah Ta'ala hi ne aasmaan ko buland kiya”.* [Al-Quran, Chapter/Surah-e-Rahman, Verse/Ayat no. 07]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jis shakhs mein amaanatdaari nahein, us mein imaan nahein”.* [Book of Sho'abul Imaan, 4354]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
 Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Rozana jab Allah ke bande subha ko uthhte hain, to 2 farishte aasmaan se utarte hain, un mein se ek kehta hai: Aye Allah (achchhe kaamon mein) Kharch karne waale ko aur maal ataa farma, doosra kehta hai: Aye Allah! Maal ko rok kar rakhne waale ka maal barbaad farma”.* [Book of Bukhari, 1442]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Tum qabron ki ziyaarat kar liya karo, is ka faaida yeh hoga ke tumhaara yeh amal tumhein aakhirat yaad dilaayega”.* [Book of Ibne Maajah, 1569]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jo aurat duniya se is haal mein chali jaaye ke us ka shohar us se raazi tha, to woh Jannat mein daakhil hogi ”.* [Book of Mustadrak, 884]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
-----Please visit our NEW BlogSpot 

*WhatsApp Groups*

*BlogSpot:*

*Telegram:*


► *LIKE, FOLLOW & SHARE this Page:*


•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *Subscribe to our Youtube channels:*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80