Daily Calendar Hadiths - 30 November 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Murde par rona chillaana jaahiliyat ke kaamon mein se hai”.* [Book of Ibne Maajah, 1582]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Tum sab mein mujhe ziyaada muhabbat us shakhs se hai, jis ke akhlaaq (character) ziyaada achchhe hain”.* [Book of Bukhari, 3759]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
 Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Jo log apne maal Allah ke raaste mein kharch karte hein phir kharch karne ke baad na ehsaan jatlaate hain aur na koi takleef pohchaate hain, woh apne parwardigaar ke paas apna sawaab paayega ”.* [Al-Quran, Chapter/Surah-e-Baqarah, Verse/Ayat no. 262]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jis shakhs ko ilm seekhte huwe maut aajaaye, woh is haal mein Allah Ta'ala se mulaaqaat karega ke us ke aur nabiyon ke darmiyaan sirf nubuwwat ke darje ka farq hoga”.* [Book of Tabraani Ausaat, 9454]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Allah Ta'ala ke nazdeek sab se ziyaada izzat waala banda woh hai jo badla le sakta ho phir bhi maaf kar de”.* [Book of Sho'abul Imaam, 8327]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
-----Please visit our NEW BlogSpot 

*WhatsApp Groups*

*BlogSpot:*

*Telegram:*


► *LIKE, FOLLOW & SHARE this Page:*


•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *Subscribe to our Youtube channels:*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80