Daily Calendar Hadiths - 29 November 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *"Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne khade ho kar paani peene se mana farmaya hai."* [Book of Ibne Maajah, 3424]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Apni zabaan par qaabu rakho. (kisi ko takleef pahonchaane waali baat mat bolo)”.* [Book of Tirmizi, 2406]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Aye logon! Zameen ki halaal paakeezah cheezein khaao aur shaitaan ke naqshe qadam par na chalo, yaqeen jaano ke woh tumhaare liye ek khula dushman hai”.* [Al-Quran, Chapter/Surah-e-Baqarah, Verse/Ayat no. 168]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Be shak yeh Qur'aan woh raasta dikhaata hai jo sab se ziyaada seedha hai”.* [Al-Quran, Chapter/Surah-e-Bani Israaeel, Verse/Ayat no. 09]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jo shakhs jhooti qasam kha kar kisi ka maal le lega, woh Allah ke saamne kodhi ho kar pesh hoga”.* [Book of Abu Dawood, 3244]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
-----Please visit our NEW BlogSpot 

*WhatsApp Groups*

*BlogSpot:*

*Telegram:*


► *LIKE, FOLLOW & SHARE this Page:*


•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *Subscribe to our Youtube channels:*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Aakhri ashre mein Qayam Al Lail (Tahajjud) ki namaz

“Zakat-ul-Fitr Ghulam aur Azaad, Mard aur Aurat, Chotey aur Badey tamaam Musalmano par farz hai.”

Iss dua ko raat ko padhne ke baad agar maut bhi aajaye to Islam par hogi