Posts

Showing posts from March, 2021

Daily Calendar Hadith - 31 March

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *" Har ek ko maut ka maza chakhna hai ".*(Quran: Surah Aal-e-Imraan; Verse/Ayat no.185) •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“ Tamaam logon ke saath achchhe akhlaaq se pesh aao ".* [Book of Tirmizi : Hadees No. 1987] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *" (Allah Ta'ala farmaate hain) mujhe (ne'maton par) yaad karo, main tumhein yaad rakhoonga". *(Al-Quran: Surah-Baqarah; Verse/Ayat no.152) •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“ Jannat ke aath darwaaze hain, Unme ek darwaze ka naam Ryan hai. Jisse daakhil hone wale sirf Rozedar honge ".* [Book of Bukhaari: Hadees No. 3257] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“ Jo shakhs apni zabaan au

Majlis se uthne ya ikhtitam ki Dua

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *” Majlis se uthne ya ikhtitam ki Dua .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *" Jo shakhs kisi majlis mein baitha aur usmein us se bahut si behuda baatein ki aur phir uthne se pehle ye dua padh li, to us se jo khataayein huyee wo maaf kar di jaati hain ."* --- * سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ وَبِحَمْدِكَ أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ أَسْتَغْفِرُكَ وَأَتُوبُ إِلَيْكَ * --- * Subhaanaka allahumma wa bihamdika, ash-hadu an laa ilaaha illa anta, astaghfiruka wa atubu ilaik.* --- *Eh Allah, Teri zaat paak hai aur tamaam taarifen Tere hi liye hain, main gawaahi deta hu ki Tere siwa koi maabud nahi aur Tujhse maghfirat maangta hun aur Tere saamne tauba karta hun .* [Jamia Tirmizi, Jild 2, 1357-Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अबू हुरैरह (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है

Jis ne apni betiyo ki ya bahno ki parwarish ki, to wo aur main Jannat mein in do (2) ungliyo ki tarah honge

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “Jis ne apni betiyo ki ya bahno ki parwarish ki, to wo aur main Jannat mein in do (2) ungliyo ki tarah honge." * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu):  ✦ Hazrat Anas (radi allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Jis ne apni (3) teen betiyo ki ya teen (3) bahno ki, ya do (2) betiyo ki ya do bahno ki unki wafaat tak parwarish ki (ek rivayat mein hai ki wo badi ho jaye aur dusri rivayat mein hai ki wo baaligh ho jaye tab tak) ya unki parwarish karte huye uske khud ki wafaat ho gayee to wo aur main Jannat mein in do (2) ungliyo ki tarah honge", phir Aap Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne shahadat waali aur darmiyan ki ungli ke saath ishara farmaya. * [Al Silsila As Sahiha, 1989 (Sheikh Albani); Masnad Ahmed, 12041-Hasan] ✦ Hazrat Abu Saeed Khudri (radi allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam)

Daily Calendar Hadiths - 30 March

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *"Allah ki rahmat se maayus na ho ".* (Quran: Yusuf; Verse/Ayat no.87) •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•   ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Sadqa wa khairaat se maal mein kuch bhi kami nahein hoti hai".* [Book of Muslim: Hadees No. 6592] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Woh shakhs bada achchha insan hai jo apne ilm par amal kare aur apne zaaid maal ko (mohtajon par) kharch kare aur be faaida guftagu se ruka rahe".* [Book of Sho'abul Imaan : Hadees No. 3388] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Tum mein sab se behtar woh hai jo Qur'aan seekhe aur sikhaaye".* [Book of Bukhaari : Hadees No. 5027]

Jis ne sirf Allah Subhanahu ke liye kisi yateem ke sir pe haath phera...

Image
 *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ Jis ne sirf Allah Subhanahu ke liye kisi yateem ke sir pe haath phera... ”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *" Jis ne sirf Allah Subhanahu ke liye kisi yateem ke sir pe haath phera, to is ka haath jitne baalon par se guzarega, is ko utne baalon ke baraabar nekiyan milengi ".* [Musnad Ahmed, 9068-Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - *“ जिसने सिर्फ अल्लाह सुबहानहु के लिए किसी यतीम के सर पर हाथ फेरा, तो उसका हाथ जितने बालों पर से गुजरेगा, उसको उतने बालों के बराबर नेकियाँ मिलेंगी l"* [मसनद अहमद, 9068-सही] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ Whoever turns his hand over the head of an orphan only for the sake of Allah... ”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (English): The Messenger of Allah, Prophet Muhammad (ﷺ peace be upon him) said - *" Whoever turns his hand

Daily Calendar Hadiths - 29 March

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jis ko haq baat maalum ho woh logon ke dar se haq baat hargiz na chhode".* [Book of Tirmizi : Hadees No. 2191] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•   ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Mazloom ki bad dua se bacho; kyun ke us ki bad dua aur Allah ke beech koi parda nahein hai".* [Book of Bukhaari: Hadees No. 2448] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“2 gunaah aise hain jin ki saza Allah Ta’ala duniya hi mein jaldi de dete hain;(1) Zulm,(2) Waalidain ki naafarmaani".* [Book of Jamiul Ahadees : Hadees No. 583] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jab tum apne padosiyon ko yeh kehte huwe suno ke tum ne achcha kiy

Bistar par let te waqt 'Aayat-al-kursi' padh lene se subah tak shaitaan kareeb nahi aa sakta

Image
 *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ Bistar par let te waqt 'Aayat-al-kursi' padh lene se subah tak shaitaan kareeb nahi aa sakta .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *" Jab bistar par leto to 'Aayat-al-kursi' poori padh lena. (Iske padhne se), Allah Subhanahu ki taraf se tum par ek nigaran farishta muqarrar rahega aur subah tak shaitaan tumhaare qareeb bhi nahi aa sakega ".* [Sahih Bukhari, Jild 3, 2311-Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अबू हुरैरह (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - *“ जब बिस्तर पर लेटो तो 'आयात-अल-कुर्सी' पूरी पढ़ लेना l (इसके पढ़ने से), अल्लाह सुबहानहु की तरफ से तुम पर एक निगरान फरिश्ता मुक़र्रर रहेगा और सुबह तक शैतान तुम्हारे क़रीब भी नही आ सकेगा l"* [सही बुखारी, जिल्द 3, 2311–सही] •┈┈┈┈•

Dua us museebat ko uske upar aane se rokti hai jo us se bachne ki dua mangta rahta hai

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: *“ Dua us museebat ko uske upar aane se rokti hai jo us se bachne ki dua mangta rahta hai." * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Parhez karna taqdeer ke muqaable mein koi fayeda nahi deta (yani jo likha hota hai wo ho kar rehta hai). Dua naazil shuda aur baad mein naazil hone wali tamaam museebaton mein nafa dene wali cheez hai, aur beshak museebat nazil hoti hai to uska dua ke sath wasta padta hai, to wo dono (museebat aur dua) qayamat ke din tak ladte rehte hai (yani dua us museebat ko uske upar aane se rokti hai jo us se bachne ki dua mangta rahta hai)". * [Saheeh Al-Jaami, 7739-Hasan] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - *“ परहेज़ करना तक़दीर के मुक़ाबले में कोई फ़ायदा नहीं देता (यानि जो लिखा होता है वो होकर रहता है) । दुआ नाज़िल शुदा और नाज़िल नाजिल होने वाली तमाम मुसीबतों में

Daily Calendar Hadiths - 28 March

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Hirs (laalach) se bacho isliye keh tum se pehle log hirs (laalach) ki wajah se halak ho chuke hain".* [Book of Abu Daaood : Hadees No. 1698] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•   ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Mai us shakhs ke liye Jannat kr andar ek ghar ka zamin hu jo ladai jhagda tark kar de, bhale hi wo haq par ho".* [Book of Abu Dawood : Hadees No. 4800] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *"Jis shakhs ne bhi momin hone ki haalat mein nek amal kiya hoga, chaahe woh mard ho ya aurat, ham us ko paakeezah zindagi basar karaaenge aur aise logon ko un ke behtareen aamaal kr mutaabiq un ka ajr zaroor ata karenge".* (Quran: Chapter/Surah-E-Nahl; Verse/Ayat no.97)

Short Dua #84

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    *رَبَّنَا وَآتِنَا مَا وَعَدتَّنَا عَلَىٰ رُسُلِكَ وَلَا تُخزِنَا يَومَ القِيَامَةِ إِنَّكَ لَا تُخلِفُ المِيعَادَ۔* --- *Rabbanaa wa aatina maa wa 'adtanaa alaa rusulika walaa tukhzinaa yawmal qiyaamati innaka laa tukhliful meeaad.* [Al-Quran, Chapter/Surah Aal-e-Imran (3), Verse/Ayat-194]  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    _Aakhirat ke din kamyab milne ki Dua_ --- *Eh hamare RABB, hume wo ataa farma jiska Tune apne Rasoolo ke zariye se waada kiya hai aur humein Qayamat ke din ruswa na karna beshak Tu wada khilafi nahi karta.* --- *एह हमारे रब, हमको वो अता फरमा जिसका तूने अपने रसूलों के ज़रिए से वादा किया है और हमें क़यामत के दिन रुसवा ना करना बेशक तू वादा खिलाफी नही करता ।*  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    _Dua for success on Day of Judgment_ --- *Our Lord ! Grant us what You promised unto us through Your Messengers and disgrace us not on the Day of Resurrection, for You never break (Your) Promise.* *اے ہمارے رب! جو وعدے

Short Dua #83

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    *رَبَّنَا لَا تَجْعَلْنَا فِتْنَةً لِّلَّذِينَ كَفَرُوا وَاغْفِرْ لَنَا رَبَّنَا إِنَّكَ أَنتَ الْعَزِيزُ الْحَكِيم۔* --- *Rabbana laa taj'alnaa fitnatal-lillazeena kafaroo waghfir lanaa rabbanaa innaka antal azeezul hakeem.* [Al-Quran, Chapter/Surah Al- Mumtahanah (60), Verse/Ayat-5]  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    _Humein kaafiron ke liye aazmaish na bana_ --- *Eh hamare RABB, humein kaafiron ki aazmaish mein na daal aur humein baksh de, Eh hamare RABB, beshak Tu hi izzat aur hikmat wala hain.* --- *एह हमारे रब्ब, हमें काफिरों की आजमाइश में ना डाल और हमें बक्ष दे, एह हमारे रब्ब, बेशक तू ही इज्ज़त और हिक्मत वाला हैं।*  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    _Do not make me a trial to disbelievers_ --- *Our Lord, make us not [objects of] torment for the disbelievers and forgive us, our Lord. Indeed, it is You who is the Exalted in Might the Wise.* *اے ہمارے رب، ہمیں کافروں کی آزمائش میں نہ ڈال اور ہمیں بخش دے اے ہمارے رب، بیشک ت

Daily Calendar Hadiths - 27 March

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Apne padosi ke saath achchha sulook karo, tum kaamil (poore) imaan waale ban jaoge".* [Book of Tirmizi : Hadees No. 2305] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•   ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne Aisi chhat par sone se mana farmaaya hai: *“jo (chaaron taraf se) ghiri huwi na ho".* [Book of Tirmizi , No. 2854] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Naahaq faisla karne waala qaazi (Judge) Jahannam mein jaayega".* [Book of Abu Daaood , No. 3573] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    ► *"Aye humare parwardigaar! Agar hum se koi bhool chook ho jaaye, to humaari girift na farmaaiye".* (Quran: Chapter/Surah-E-Baqarah Verse/Ayat no.286) •┈┈┈┈••

Khair ki baat seekhne ya sikhaane se Hajj ka sawaab

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “Khair ki baat seekhne ya sikhaane se Hajj ka sawaab." * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Jo shakhs sirf khair ki baat seekhne ya sikhaane ke liye Masjid mein jaaye to uska sawaab us Haji ke sawaab ki tarah hai jiska Hajj mukammal ho gaya ho". * [Al Mujam Al Kabir Tabarani, 7346-Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - * “जो शख़्स सिर्फ खैर की बात सीखने या सिखाने के लिए मस्जिद में जाए तो उसका सवाब उस हाजी के सवाब की तरह है जिसका हज मुकम्मल हो गया हो ।" * [अल मुअजम अल कबीर तबरानी, 7346-सही] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * "Reward of learning or teaching good is like of Hajj" * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (English): The Messenger of Allah, Prophet Muhammad (ﷺ peace be upon him) said - * "Whoever goes to the Masjid (Mosque) just to l

Short Dua #82

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    --- *رَّبِّ زِدْنِي عِلمًا* --- *Rabbi zidni ʿilma.* [Al Quran, Chapter/Surah Ta-ha(20), Verse/Aayat - 114]  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    _Ilm hasil karne ki dua_ --- *Eh mere RABB, mujhe aur zyada ilm de.* --- *एह मेरे रब्ब, मुझे और ज़्यादा 'इल्म देl*  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    _Dua for gaining knowledge_ --- *My Lord, Increase me (in) knowledge.* --- *اے میرے رب، مجھے اور زیادہ علم دے۔*  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    ----- Please visit our BlogSpot DailyQuranHadiths.blogspot.com/1

Daily Calendar Hadiths - 26 March

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Us aadmi se behtar kisi ne nahin khaaya, jis ne apne haath ki kamaai se khaaya".* [Book of Bukhaari: Hadees No. 2072] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•   ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *"Jo koi Allah se darega, Allah us ke liye mushkil se nikalne ka raasta paida kar dega".* (Quran: Chapter/Surah-E-Talaq Verse/Ayat no.02) •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Haq ke mutaabiq faisla karne waala qaazi (Judge) Jannat mein jaayega".* [Book of Abu Daaood : Hadees No. 3573] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *"Tum sab apne Rab (Allah) se maafi maango, phir usi ki taraf (ibaadat ke zariye) mutawajja ho jaao, yaqeen rakho

Har mahine 13, 14 aur 15 ke roze rakhne ka sawaab hamesha roze rakhne ke baraabar hai

Image
 *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ Har mahine 13, 14 aur 15 ke roze rakhne ka sawaab hamesha roze rakhne ke baraabar hai .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Qatadah Ibn Malhan al-Qaysi (radi allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) - *" Humko Ayyam Al-Baid yani har mahine mein 13, 14 aur 15 taarikh ke roze rakhne ka hukm farmaate. Aur yeh bhi farmaaya ki: Iska sawaab itna hai jitna hamesha roze rakhne ka hai ".* [Sunan Abu Dawood, Jild 2, 677 -Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत क़तदह इब्न मलहन अल क़ैसी (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) - *“ हमको अय्याम अल-बैद यानी हर महीने 13, 14 और 15 तारीख के रोज़े रखने का हुक्म फरमाते l और ये भी फरमाया की: इसका सवाब इतना है जितना हमेशा रोज़े रखने का है l"* [सुनन अबू दाऊद, जिल्द 2, 677–सही] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ Fasting on the days of white (nights) that is thir

Daily Calendar Hadiths - 25 March

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *"Aye aurto! Tum apne gharon mein thehri raha karo aur zamana-e-jaahiliyat ki tarah be parda mat phiro".* (Quran: Chapter/Surah-E-Ahzab Verse/Ayat no.33) •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•   ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Agar Tum mein se koi apne bhai se muhabbat karta ho, to us ko bata de ke us ko us se muhabbat hai".* [Book of Abu Daaood : Hadees No. 5124] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Logon mein bura aadmi woh hai jise gussa jaldi aaye aur der se jaaye".* [Book of Tirmizi : Hadees No. 2191] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Kisi gareeb ko dene par (sirf) sadqe ka sawaab milta hai; lekin (ga

Jab Musalman banda beemar hota hai to Allah Subhanahu uske (amal ke liye Farishte se) kehta hai…

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: *“ Jab Musalman banda beemar hota hai to Allah Subhanahu uske (amal ke liye Farishte se) kehta hai… "* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Jab Musalman banda beemar hota hai to Allah Subhanahu uske (amal ke liye Farishte se) kehta hai: 'Jab tak mein isko tandurust na kar doon iske liye sehat-mandi ki halat mein uske afzal amal ke mutabiq amal likhte jao'." * [Al-Silsila As-Sahiha, 2283] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - * “जब मुसलमान बंदा बीमार होता है तो अल्लाह सुबहानहु उसके (अमल के लिए फ़रिश्ते से) कहता है: 'जब तक मैं इसको तंदुरस्त न कर दूँ इसके लिए सेहतमंदी की हालत में उसके अफज़ल अमल के मुताबिक़ अमल लिखते जाओ' ।" * [अल-सिलसिला अस-सहिहा, 2283] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: *" When a believer slave gets sick, Allah says (to an Angel for his d

'La ilaaha illAllah' kahna imaan ka sabse ziyaada hissa hai

Image
 *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ 'La ilaaha illAllah' kahna imaan ka sabse ziyaada hissa hai .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *" Imaan ki 60 se kuch upar ya 70 hisse hain, jismein sabse kam takleef dene waali cheez ko raaste se hataa dena hai aur sabse ziyaada 'La ilaaha illAllah' kahna hai. Aur haya bhi imaan ka hissa hai ".* [Sunan Ibn Majah, Jild 1, 57-Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अबू हुरैरह (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - *“ ईमान की 60 से कुछ उपर या 70 हिस्से (बाब) हैं, जिसमें सबसे कम तकलीफ़ देने वाली चीज़ को रास्ते से हटा देना है और सबसे ज़ियादा 'ला ईलाहा ईलअल्लाह' कहना है l और हया भी ईमान का हिस्सा है l"* [सुनन इब्न माजा, जिल्द 1, 57-सही] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ Saying

Short Dua #81

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    --- *رَبِّ ٱغْفِرْ لِى وَلِأَخِى وَأَدْخِلْنَا فِى رَحْمَتِكَ ۖ وَأَنتَ أَرْحَمُ ٱلرَّٰحِمِينَ* --- *Rabbigfirlee Wali-akhi wa adkhilnaa fee rahmatika, wa Anta arhamur-raahimeen .* [Al Quran, Chapter/Surah Al A'raf(7), Verse/Aayat - 151]  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    _Apne liye aur bhaiyon ke liye bakshish ki dua_ --- *Eh mere RABB, mujhe baksh de aur mere bhai ko bhi aur hamein Apni rehmat mein dakhil kar aur Tu reham karne walon mein sab se badh kar reham karne wala hain.* --- *एह मेरे रब्ब, मुझे बख्श दे और मेरे भाई को भी और हमें अपनी रहमत में दाखिल कर और तू रहम करने वालो में सब से बेहतर रहम करने वाला हैं l*  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    _Dua for forgiveness for us and our siblings_ --- *My Lord, forgive me and my brother and admit us into Your mercy, for You are the most merciful of the merciful.* --- *اے میرے رب، مجھے بخش دے اور میرے بھائی کو بھی اور ہمیں اپنی رحمت میں داخل کر اور تُو رحم کرنے والوں میں سب سے بڑھ

Short Dua #80

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    --- *اللَّهُمَّ حَسَّنْتَ خَلْقِي فَحَسِّنْ خُلُقِي* --- *Allahumma hassanta khalqee fahassin khuluqee.* [Sahih Ibn Hibban - 959]  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    _Aaina me dekh kar padhne ki Dua_ --- *Eh Allah, jaise Tune meri surat achchi banayi, mere akhlaaq bhi achche kar de.* --- *एह अल्लाह, जैसे तूने मेरी सूरत अच्छी बनाई, मेरे अखलाक भी अच्छे कर दे ।*  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    _When looking into the mirror_ --- *O Allah, just as You have made my external features beautiful, make my character beautiful as well.* --- *اے الله، جیسے تونے میری سورت اچھی بنائی، میرے اخلاق بھی اچھے کردے۔*  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    *Please join our Telegram channel:* http://t.me/DailyDua1

Daily Calendar Hadiths - 24 March

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Poori insaaniyat mil kar kisi ko utna hi nuqsaan pahoncha sakti hai, jitna Allah Ta’ala ne likh diya hai".* [Book of Tirmizi : Hadees No. 2516] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•   ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Lazzaton ko todne waali cheez yaani maut ko kasrat se yaad kiya karo".* [Book of Sunan-Al-Tirmizi : Hadees No. 2307] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Logon mein achchha aadmi woh hai jise gussa der se aaye ahr jaldi chala jaaye".* [Book of Tirmizi : Hadees No. 2191] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne: *“la’anat bheji hai sood (interest) khaane waale par, aood khilaane wale par, sood ke li