Daily Calendar Hadiths - 29 March

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
   ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:*“Jis ko haq baat maalum ho woh logon ke dar se haq baat hargiz na chhode".* [Book of Tirmizi : Hadees No. 2191]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Mazloom ki bad dua se bacho; kyun ke us ki bad dua aur Allah ke beech koi parda nahein hai".* [Book of Bukhaari: Hadees No. 2448]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“2 gunaah aise hain jin ki saza Allah Ta’ala duniya hi mein jaldi de dete hain;(1) Zulm,(2) Waalidain ki naafarmaani".* [Book of Jamiul Ahadees : Hadees No. 583]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jab tum apne padosiyon ko yeh kehte huwe suno ke tum ne achcha kiya, toh yaqeenan tum ne achcha kiya".* [Book of Ibn-e-Maaja : Hadees No. 4223]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“(Qayaamat ke din momin ki) Taraazu mein achchhe akhlaaq se bhaari koi cheez na hogi".* [Book of Abu Daaood : Hadees No. 4799]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
*WhatsApp Groups*

 --- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_ 

LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/ 
LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•