Daily Calendar Hadiths - 28 March

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
   ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Hirs (laalach) se bacho isliye keh tum se pehle log hirs (laalach) ki wajah se halak ho chuke hain".* [Book of Abu Daaood : Hadees No. 1698]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Mai us shakhs ke liye Jannat kr andar ek ghar ka zamin hu jo ladai jhagda tark kar de, bhale hi wo haq par ho".* [Book of Abu Dawood : Hadees No. 4800]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *"Jis shakhs ne bhi momin hone ki haalat mein nek amal kiya hoga, chaahe woh mard ho ya aurat, ham us ko paakeezah zindagi basar karaaenge aur aise logon ko un ke behtareen aamaal kr mutaabiq un ka ajr zaroor ata karenge".* (Quran: Chapter/Surah-E-Nahl; Verse/Ayat no.97)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jis shakhs ne kisi nujoomi (jyotish) ke paas ja kar kuch poocha toh us ki 40 raat (aur din) ki namaaz (wagairah) qubool nahi hogi (sawab nahi milega)".* [Book of Muslim : Hadees No. 5957]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jis shakhs mein amaanatdaari nahin, us mein Imaan nahin".* [Book of Sho’abul Imaan : Hadees No. 4354]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
*WhatsApp Groups*

 --- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_ 

LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/ 
LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•