Daily Calendar Hadiths - 30 March

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
   ►
Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *"Allah ki rahmat se maayus na ho ".* (Quran: Yusuf; Verse/Ayat no.87)

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Sadqa wa khairaat se maal mein kuch bhi kami nahein hoti hai".* [Book of Muslim: Hadees No. 6592]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Woh shakhs bada achchha insan hai jo apne ilm par amal kare aur apne zaaid maal ko (mohtajon par) kharch kare aur be faaida guftagu se ruka rahe".* [Book of Sho'abul Imaan : Hadees No. 3388]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Tum mein sab se behtar woh hai jo Qur'aan seekhe aur sikhaaye".* [Book of Bukhaari : Hadees No. 5027]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Pahlwaan woh nahin hai jo saamne waale ko pachhad de, balke pahelwaan haqeeqat mein woh hai jo gusse ke waqt apne nafs (khud) par qaabu rakhe ".* [Book of Bukhaari : Hadees No. 6114]
        

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
*WhatsApp Groups*

 --- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_ 

LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/ 
LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80