Daily Calendar Hadiths - 25 March

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
   ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *"Aye aurto! Tum apne gharon mein thehri raha karo aur zamana-e-jaahiliyat ki tarah be parda mat phiro".* (Quran: Chapter/Surah-E-Ahzab Verse/Ayat no.33)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Agar Tum mein se koi apne bhai se muhabbat karta ho, to us ko bata de ke us ko us se muhabbat hai".* [Book of Abu Daaood : Hadees No. 5124]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Logon mein bura aadmi woh hai jise gussa jaldi aaye aur der se jaaye".* [Book of Tirmizi : Hadees No. 2191]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Kisi gareeb ko dene par (sirf) sadqe ka sawaab milta hai; lekin (gareeb) rishtedaar ko (dene par) dugna sawaab milta hai: (1) Sadqe ka (2) Rishtedaaron ke saath achcha sulook karne ka".* [Book of Mustadrak: Hadees No. 1476]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“3 cheezein aadmi ko halaak karne waali hain; (1) Nafs ki khwaahishaat par chalna, (2) Laalach wa kanjoosi ko aadat bana lena, (3) Aadmi ka khud ko behtar samajhna, aur yeh aadat in teenon mein bad tareen aadat hai".* [Book of Sho’abul Imaan : Hadees No. 7252]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
*WhatsApp Groups*

 --- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_ 

LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/ 
LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•