Posts

Daily Calendar Hadiths - 23 June 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne: * “Do aadmiyon ke darmiyaan insaaf kar dena bhi sadqa hai”.*  [Book of Bukhari, 2989] https://youtu.be/X5Xomli8KxY •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Tum do aadaton ko ikhtiyaar kar lo, (1) Ziyaada khaamosh rehne ki aadat, (2) achchhe se pesh aane ki aadat ”.*  [Book of  Sho'abul imaan, 4941] https://youtu.be/Qlrv6mNx9DA •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Duniya mein is tarah raho, jaise koi ajnabi pardesi rehta haiya raasta chalta musaafir ”.*  [Book of  Bukhari,  6416] https://youtu.be/K21r0KEXFjc •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Har roz jab Allah ka bande sunbah ko uthte hain, do farishte naazil hote hain, un mein se ek kehta hai : Ae Allah! (achche kaamon ...

Daily Calendar Hadiths - 22 June 2022

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne: * “Hum logon ko mazloom (jis par zulm ho raha ho) ki madad karne ka hukm diya hai”.*  [Book of Bukhari, 2443]  https://youtu.be/RFG_daeC2JM •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Jab qaum zakaat dena band kar deti hai, to Allah Ta'ala un se baarish rok deta hai”.*  [Book of Mustadrak, 2577] https://youtu.be/_0irtRH5Fdo •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Qayaamat ke din Allah ke nazdeek sab se bada gunaah paak daaman aurat par tohmat lagaana hai”.*  [Book of Mustadrak, 1447] https://youtu.be/e83j2cJ6uSg •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: * “Allah Ta'ala farmaata hai; Main dua maangne waale ki dua qabool karta hoon, jab woh mujh se dua maange".*  [Quran, Chapter/ Surah -Al- ...

Azkar: Rasool-Allah Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) kasrat se ye Azkaar irshaad farmate the

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Azkar reminder: * Rasool-Allah Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) kasrat se ye Azkaar irshaad farmate the .* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• --- * سُبْحَانَ اللهِ وَبِحَمْدِهِ أَسْتَغْفِرُ اللهَ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ* --- *Subhanallahi wa bihamdihi Astagfirullahi wa atubu ilaih.* --- *Main Allah Subhanahu ki paakeezgi bayaan karta hu Uski hamd ke saath, Main Allah Subhanahu se bakshish ka talabgaar hu aur Usi ki taraf ruju karta hu. * [Sahih Muslim, 1088] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• --- * سُبْحَانَ اللهِ وَبِحَمْدِهِ أَسْتَغْفِرُ اللهَ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ* --- *सुबहान अल्लाहि वा बिहम्दिही अस्तगफिरुल्लाह वा अतुबू इलैही l* --- *मैं अल्लाह की पाकीज़गी बयान करता हूँ उस की हमद के साथ, मैं अल्लाह से बख़शिश का तलबगार हूँ और उसी की तरफ़ रुजू करता हूँ l * [सही मुस्लिम, 1088] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Azkar reminder: *“ Messenger of Allah, Prophet Muhammad (ﷺ peace be upon him) recited often these words. ”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• --- * سُبْحَانَ اللهِ وَبِحَمْدِهِ أَسْتَغْفِرُ ا...

Daily Calendar Hadiths - 21 June 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  *“Haraam cheezon se bacho, tum sab se bade ibaadat guzaar ban jaaoge”.*  [Book of Tirmizi, 2305]  https://youtu.be/6dePrhylx5U •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  * “Allah Ta'ala ki rahmat ho us bande par jo bechne, khareedne aur apne haq wasul karne mein narmi ikhtiyaar kare”.*  [Book of Bukhari, 2076] https://youtu.be/6ye5azruH1k •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  * “Maal kharch karo, gin gin kar na rakho, warna Allah Ta'ala bhi tum ko gin gin kar dega (phir rozi se barkat khatm ho jaayegi) aur maal ko rok kar na rakho, warna Allah Ta'ala tum se rizq ko rok lega”.*  [Book of Bukhari, 2591] https://youtu.be/VXpBnprfCv4 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: * “Aye imaan waal...

Daily Calendar Hadiths - 20 June 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: * “Tum sab ke sab Allah Ta'ala se tauba kar lo, taake tum kaamyaab ho jaao".*  [Quran, Chapter/Surah-e-Noor: Verse/Ayat no. 31] https://youtu.be/g0r4bHKxA7w •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya:  * “Jo paakeeza rizq ham ne tumhein ata kiya hai, us mein se khaao aur us mein hadd se aage na badho".*   [Quran, Chapter/Surah-e-Taaha: Verse/Ayat no. 81] https://youtu.be/ElXxI8eE39Y •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya:  * “Ek doosre ki geebat na karo, kya tum mein se koi yeh pasand karega ke woh apne mare huwe bhaai ka gosht khaaye? Is se to tum khud nafrat karte ho".*   [Quran, Chapter/Surah-e-Hujuraat: Verse/Ayat no. 12] https://youtu.be/qDQvz7H1RYo •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Jo shakhs daulat badhaane ke liye logo se ...

Daily Calendar Hadiths - 19 June 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Tum kalonji (Mungrela) ko istemaal karo, kyunke is mein maut ke alawa har bimaari se shifa maujood hai”. * [Book of Bukhari, 5687] https://youtu.be/l75laLESHYY •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: * “Be hayaai ke kaamon ke qareeb bhi na jaao, chaahe woh be hayaai khuli huwi ho ya chhupi huwi". * [Quran, Chapter/Surah-e- An'am: Verse/Ayat no. 151] https://youtu.be/B4jHPPGS2i8 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Har ummat ke liye fitna hota hai aur meri ummat ka fitna maal hai”. * [Book of Tirmizi, 2336] https://youtu.be/2bHDo3MeVNY •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: * “Aap apne ghar waalon ko namaaz ka hukm karte rahiye aur khud bhi namaaz ke paaband rakhiye". * [Quran, Chapter/Surah-e- Taha: Verse/Ayat no. 1...

Sar aur Daadhi ki Safedi ko badal lo (yaani khizab lagao), magar kale rang se bachna

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “Sar aur Daadhi ki Safedi ko badal lo (yaani khizab lagao), magar kale rang se bachna.” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu): ❶ Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Yahud aur Nasara khizaab (dye) nahi karte to tum log unke khilaaf karo, yani khizaab lagaao”. * [Sunan Nasaii, Jild 3, 1370-Sahih] ❷ Hazrat Jabir bin Abdullah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki * “Hazrat Abu Quhafa (radi Allahu anhu, jo ki Hazrat Abu Bakr radi Allahu anhu ke waalid thay) jis saal Makka fatah huya, aaye. Unka sar aur daadhi ‘sagama’ (safed phool ya ghaas) ki tarah safed thi, to Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne unki aurto ko hukm diya ki inki safedi ko badal lo, magar kaale rang se bachna”. * [Sahih Muslim, Jild 6, 5509] ❸ Hazrat Ibn Abbas (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu ala...

Daily Calendar Hadiths - 18 June 2022

Image
  *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Rahmat ho us bande par jo bechne, khareedne aur aona haq wusool karne mein narmi ikhtiyaar kare”. * [Book of Bukhari, 2076] https://youtu.be/Kzl7PUTdt-w •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: * “Aur Allah ki ibaadat karo aur us ke saath kisi ko shareek na thehrao". * [Quran, Chapter/Surah-Al Nisa: Verse/Ayat no. 36] https://youtu.be/AJx61wWyM2A •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► * "Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne aurton ko apne sar ke baal chote kar ke sirf kandhe tak baal rakhne se mana farmaaya hai." * [Book of Kanzul Ummaal, 45051] https://youtu.be/xo5pQYl73Sc •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: * “Be shak yeh Qur'an woh raasta dikhaata hai jo sab se ziyaada seedha hai". * [Quran, Chapter/Surah-e-Bani Israaeel: Verse/Ayat no. 09] https://...

Daily Calendar Hadiths - 17 June 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya:  * “Maal, aulaad ki kasrat aur duniya ke saamaan par fakhr ne tum ko gaafil kar diya hai".*   [Quran, Chapter/Surah-Al Takasur: Verse/Ayat no. 01] https://youtu.be/THOl2mP_kvk •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Raasta, paani aur saaye mein istinja karna; yeh teenon laanat waale kaam hain, tum log in se bacho”. * [Book of Abu Dawood, 26] https://youtu.be/m2NpAojaB_4 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Allah Ta'ala ke nazdeek sab se bada gunaah yeh hai ke aadmi kisi aurat se shaadi kare aur phir jab us ki zaroorat poori ho jaye, to us ko talaaq de de aur maher bhi na de”. * [Book of Mustadrak, 2743] https://youtu.be/LRgO_hPFg4w •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Mard doosre mard ka aur aurat d...