Daily Calendar Hadiths - 19 June 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Tum kalonji (Mungrela) ko istemaal karo, kyunke is mein maut ke alawa har bimaari se shifa maujood hai”.* [Book of Bukhari, 5687]
https://youtu.be/l75laLESHYY
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Be hayaai ke kaamon ke qareeb bhi na jaao, chaahe woh be hayaai khuli huwi ho ya chhupi huwi".* [Quran, Chapter/Surah-e- An'am: Verse/Ayat no. 151]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Har ummat ke liye fitna hota hai aur meri ummat ka fitna maal hai”.* [Book of Tirmizi, 2336]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Aap apne ghar waalon ko namaaz ka hukm karte rahiye aur khud bhi namaaz ke paaband rakhiye".* [Quran, Chapter/Surah-e- Taha: Verse/Ayat no. 132]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Tum achchhe akhlaaq aur khaamooshi ki aadat banaalo, Qasam us zaat ki jis ke qabze mein Muhammad(sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ki jaan hai makhlooq ne in dono jaisi khoobiyon ko apne andar paida nahin kiya”.* [Book of Sho'abul Imaan, 4941]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 

Popular posts from this blog

Aakhri ashre mein Qayam Al Lail (Tahajjud) ki namaz

“Zakat-ul-Fitr Ghulam aur Azaad, Mard aur Aurat, Chotey aur Badey tamaam Musalmano par farz hai.”

Iss dua ko raat ko padhne ke baad agar maut bhi aajaye to Islam par hogi