Daily Calendar Hadiths - 17 June 2022
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Maal, aulaad ki kasrat aur duniya ke saamaan par fakhr ne tum ko gaafil kar diya hai".* [Quran, Chapter/Surah-Al Takasur: Verse/Ayat no. 01]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Raasta, paani aur saaye mein istinja karna; yeh teenon laanat waale kaam hain, tum log in se bacho”.* [Book of Abu Dawood, 26]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Allah Ta'ala ke nazdeek sab se bada gunaah yeh hai ke aadmi kisi aurat se shaadi kare aur phir jab us ki zaroorat poori ho jaye, to us ko talaaq de de aur maher bhi na de”.* [Book of Mustadrak, 2743]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Mard doosre mard ka aur aurat doosri aurat ka satar na dekhe”.* [Book of Muslim, 794]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Aye Imaan waalo! Mard doosre mardon ka mazaaq na udaayein, ho sakta hai ke woh (jin ka mazaaq udaaye gaya hai) khud un se (mazaaq udaane waalon se) behtar ho".* [Quran, Chapter/Surah-Al Hujuraat: Verse/Ayat no. 11]
----- Please visit our NEW BlogSpot
*WhatsApp Groups*
https://chat.whatsapp.com/DpeeMw8CPSY9nxIH9C6ZFk _*(ONLY FOR MALES)*_
https://chat.whatsapp.com/Jz8yourlsC18wSfsmY0hOE _*(ONLY FOR FEMALES)*_
*Telegram Channel:*
► *LIKE, FOLLOW & SHARE this Page:*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *Subscribe to our YouTube channels:*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•