Daily Calendar Hadiths - 18 June 2022

 *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Rahmat ho us bande par jo bechne, khareedne aur aona haq wusool karne mein narmi ikhtiyaar kare”.* [Book of Bukhari, 2076]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Aur Allah ki ibaadat karo aur us ke saath kisi ko shareek na thehrao".* [Quran, Chapter/Surah-Al Nisa: Verse/Ayat no. 36]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *"Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne aurton ko apne sar ke baal chote kar ke sirf kandhe tak baal rakhne se mana farmaaya hai."* [Book of Kanzul Ummaal, 45051]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Be shak yeh Qur'an woh raasta dikhaata hai jo sab se ziyaada seedha hai".* [Quran, Chapter/Surah-e-Bani Israaeel: Verse/Ayat no. 09]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Agar kisi ne tumhaare paas koi cheez amaanat rakhi to (maangne par) us ko amanat waapas kar do”.* [Book of Abu Dawood, 3535]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 

Popular posts from this blog

Aakhri ashre mein Qayam Al Lail (Tahajjud) ki namaz

“Zakat-ul-Fitr Ghulam aur Azaad, Mard aur Aurat, Chotey aur Badey tamaam Musalmano par farz hai.”

Iss dua ko raat ko padhne ke baad agar maut bhi aajaye to Islam par hogi