Daily Calendar Hadiths - 25 May 2022
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Tum sachchaai ko mazbooti se pakdo aur hamesha sach bolo”.* [Book of Muslim, 6639] https://youtu.be/M6JkdZPD6fU •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Allah Ta'ala baazaar mein cheekh wa pukaar karne waalon ko pasand nahein farmaata hai”.* [Book of AL adabul mulrad, 310] https://youtu.be/vR5AS3XhK58 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: * “Tumhaare darmiyaan ek jamaat aisi honi chahiye jo ke afraad (logon ko) bhalaayi ki taraf bulaayein, achche kaamon ka hukm dein aur buraayi se rokein aur yahi log kaamyaab hone waale hain".* [Quran, Chapter/Surah-Aal-e-Imraan: Verse/Ayat no. 104] https://youtu.be/oKPJfsSs-uE •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Insaan ke qadam qayaama...