Daily Calendar Hadiths - 18 May 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Tum mein se koi doosre ke saude par sauda na kare”.* [Book of Muslim, 6541]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Apne shohar se naraaz ho kar alag raat guzaarne waali aurat par jab tak woh apne amal se baaz na aajaaye, farishte laanat bhejte rehte hain”.* [Book of Bukhari, 5194]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Neki (bhalaai) ka raasta batlaane waala neki karne waale ki tarah hai”.* [Book of Tirmizi, 2670]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Jo kuchh tum kar rahe ho, tumhaara Rab us se bekhabar nahin hai".* [Quran, Chapter/Surah-e-Hud: Verse/Ayat no. 123]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Tum log qaidiyon ko chhudaao, bhookon ko khaana khilaao aur beemaron ki iyaadat karo”.* [Book of Bukhari, 3046 ]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 

Popular posts from this blog

Aakhri ashre mein Qayam Al Lail (Tahajjud) ki namaz

“Zakat-ul-Fitr Ghulam aur Azaad, Mard aur Aurat, Chotey aur Badey tamaam Musalmano par farz hai.”

Iss dua ko raat ko padhne ke baad agar maut bhi aajaye to Islam par hogi