Daily Calendar Hadiths - 21 May 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Apne khaadim ki galatiyon ko maaf kardiya karo ”.*  [Book of Tirmizi, 1949]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jis ko tum pehchaante ho aur jis ko tum nahein pehchaante ho, sab ko salaam karo ”.*  [Book of Bukhari, 6236]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Aye Imaan waalo! Bahot se gumaanon se bacho, (kyun ke) baaz gumaan gunaah hote hain".* [Quran, Chapter/Surah-e-Hujiraat: Verse/Ayat no. 12]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Woh shakhs Jannat mein daakhil nahin hoga, jis ka padosi us ki takleefon se mehfooz na ho ”.*  [Book of Muslim, 46]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Jab koi baat kaho to insaaf se kaam lo, chaahe muaamla apne qareebi rishtedaar hi ka ho".* [Quran: Chapter/Surah-e-An'aam: Verse/Ayat no. 152]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
----- Please visit our NEW BlogSpot

*WhatsApp Groups*

*Telegram Channel:*

► *LIKE, FOLLOW & SHARE this Page:*


•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *Subscribe to our YouTube channels:*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 

Popular posts from this blog

Aakhri ashre mein Qayam Al Lail (Tahajjud) ki namaz

“Zakat-ul-Fitr Ghulam aur Azaad, Mard aur Aurat, Chotey aur Badey tamaam Musalmano par farz hai.”

Iss dua ko raat ko padhne ke baad agar maut bhi aajaye to Islam par hogi