Posts

Showing posts from August, 2022

Daily Calendar Hadiths - 31 August 2022

Image
  *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  *"Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) doosre din ke liye kisi cheez ko jama karke nahin rakhte the.* [Book of Tirmizi, 2362] https://youtu.be/F_KifDlOYoI •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya:  *“ Jo shakhs logo se maal le aur zaaye karne ka iraada rakhta ho to Allah us ke maal ko zaaye kar deta hai".* [Book of Bukhari, 2387] https://youtu.be/kPlX8Sp6vUA      •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►   Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Allah Ta'ala ne tijaarat ko halaal aur sood (interest) ko haraam qaraar diya hai”.* [Al-Quran, Surah-e-Baqarah, Ayat/Verse No. 275] https://youtu.be/9mbT6nML_DA •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya:  *“ Allah Ta'ala aakhirat ke iraade par duniya deta hai aur duniya ke iraade par aakhirat nahi deta".* [Book of Kanzul Ummaal, 7240] https

Wuzu karne ka tareeqa Hadith ki roshni mein

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: *“ Wuzu karne ka tareeqa Hadith ki roshni mein. ”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Uthman bin Affan (radi Allahu anhu) ne wuzu ka pani mangwaya aur wuzu kiya to, * pehle dono haatho ko (kalaaii tak) teen baar dhoya, phir (teen baar) kulli ki aur naak mein pani daala (teen baar), aur uske baad teen baar munh dhoya, aur phir dahina haath kohni tak teen baar dhoya, aur uske baad bahina haath kohni tak teen baar dhoya, phir sar ka masaa kiya, aur phir dahina paanw (takhno) dhoya teen baar, aur phir bahina paanw dhoya teen baar * aur uske baad kaha ki main ne Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ko dekha ki aapne isee tarah wuzu kiya jaisa main ne abhi kiya aur phir Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne is tarah wuzu karne ke baad farmaya tha - *“ Jo shakhs mere wuzu ki tarah wuzu kare phir 2 rakat (nawaafil) khade hokar padhe aur kisi khayal mein garq na ho (yani faltu

Daily Calendar Hadiths - 30 August 2022

Image
  *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya:  *“ Tum log aapas mein ek dosre ki amaanat mein khayanat na kiya karo”.* [Al-Quran, Surah-e-Anfaal, Ayat/Verse No. 27] https://youtu.be/yCikQr5tD-s •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Jo aurtein apna nikah gawaah ke bagair (chori chhupe) kar lein woh haraam kaam karne waali hain".* [Book of Tirmizi, 1103] https://youtu.be/BnqvCXmt9S8   •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►   Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ne teen martaba Allah ki qasam kha kar farmaaya:  *" Logon ko Deen sikhaao aur aasaaniyaan paida karo, dushwaariyaan paida na karo".* [Book of Musnad-e-Ahmed, 2136] https://youtu.be/5y97MM9-Y64 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya:  *“ Jo chaandi ke bartan mein paani wagaira peete hain, woh apne pet mein jahannam ki aag bhar rahe

Allah kis shakhs ke liye JANNAT mein mehmaani ka saamaan karega

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “Allah Subhanahu kis shakhs ke liye JANNAT mein mehmaani ka saamaan karega?” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Jo shakhs Masjid mein subah-shaam baar-baar (Namaz padhne ke liye) haaziri deta hai to Allah Subhanahu JANNAT mein uski mehmaani ka saamaan karega. Woh subah-shaam jab bhi masjid mein jaaye”. * [Sahih Bukhari, Jild 1 ,662] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अबू हुरैराह (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - * “जो शख़्स मस्जिद में सुबह-शाम बार-बार (नमाज़ पढ़ने के लिए) हाज़िरी देता है तो अल्लाह सुबहानहु जन्नत में उसकी मेहमानी का सामान करेगा । वह सुबह-शाम जब भी मस्जिद में जाए ।" * [सही बुख़ारी, जिल्द 1, 662] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “For whom Allah will prepare an honorable place in Parad

Daily Calendar Hadiths - 29 August 2022

Image
  *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya:  *“ Yateemon ke maal apne maalon ke saath mila kar mat khaao”.* [Al-Quran, Surah-e-Nisa, Ayat/Verse No. 02] https://youtu.be/tzTlAzAXtkw •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: * “Beshak namaaz behayaai aur bure kaamon se rokti hai”.* [Al-Quran, Surah-e-Ankabut, Ayat/Verse No. 45] https://youtu.be/izj9lBFjQNU •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►   Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya:  *" Woh musalmaan jis ki (logon ko) maaf karne ki aadat thi, woh Jannat mein jaane ka haqdaar hai".* [Book of kanzul ummaal, 7015] https://youtu.be/10CcmG3vUbc •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya:  *“ Aadmi do cheezon ko na pasand karta hai, (haalaanke dono us ke liye behtar hain) ek maut ko, haalaanke maut momin ke liye fitnon se bachaao hai, doosre maal ki kami ko, haa

Jannat mangne ki Dua - Supplication for Paradise

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *" Jannat mangne ki Dua ."* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Anas bin Malik (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *" Jo shakhs Allah se teen (3) martaba Jannat maangta hai to jannat kahti hai: 'Eh Allah, isko jannat mein daakhil farma '".* --- * اللَّهُـمّ إنِّي أَسْأَلُكَ الْجَنَّة الْفِرْدَوْسَ* --- *Allahumma inni As-aluka Jannat-Al-Firdaus.* --- *Ya Allah, main Tujhse Jannat Al-firdaus ka sawaal karta hu. "* [Sunan Nasai, Jild 3, 1822 –Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अनस बिन मलिक (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - *" जो शख्स 3 मर्तबा जन्नत माँगता है तो जन्नत कहती है: 'एह अल्लाह इसको जन्नत में दाखिल फरमा' l"* --- * اللَّهُـمّ إنِّي أَسْأَلُكَ الْجَنَّة الْفِرْدَوْسَ* --- * अल्लाहुम्मा  इन्नी असआलुकल जन्नतुल फ

Daily Calendar Hadiths - 28 August 2022

Image
  *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Allah ki rahmat se maayus na ho”.* [Al-Quran, Surah-e-Yusuf, Ayat/Verse No. 87] https://youtu.be/ygK-0yrgCSE •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya:  *“ Aadmi ke jhoota hone ke liye yahi kaafi hai ke woh jo kuch sune (bila tahqeeq) use bayaan karta phire".* [Book of Sahih Muslim, 07] https://youtu.be/ooB-BHDokx8 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►   Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ne teen martaba Allah ki qasam kha kar farmaaya:  *" Tum mein sab se behtar woh shakhs hai jo (mohtaajon ko) khaana khilaaye".* [Book of Musnade Ahmed, 23929] https://youtu.be/apX1xJGAXug •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya:  *“ Ladkiyon ko na pasand na karo, kyun ke woh badi mohabbat karne waali aur khair-o-barkat waali hoti hai".* [Book of Musnad-e