Daily Calendar Hadiths - 28 August 2022

 *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Allah ki rahmat se maayus na ho”.* [Al-Quran, Surah-e-Yusuf, Ayat/Verse No. 87]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Aadmi ke jhoota hone ke liye yahi kaafi hai ke woh jo kuch sune (bila tahqeeq) use bayaan karta phire".* [Book of Sahih Muslim, 07]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
 Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ne teen martaba Allah ki qasam kha kar farmaaya: *"Tum mein sab se behtar woh shakhs hai jo (mohtaajon ko) khaana khilaaye".* [Book of Musnade Ahmed, 23929]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Ladkiyon ko na pasand na karo, kyun ke woh badi mohabbat karne waali aur khair-o-barkat waali hoti hai".* [Book of Musnad-e-Ahmed, 17373]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Jo sawaal karne waala ho, use mat jhidko”.* [Quran: Surah-e-Duha: Ayat/Verse No. 10]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80