Daily Calendar Hadiths - 29 August 2022

 *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Yateemon ke maal apne maalon ke saath mila kar mat khaao”.* [Al-Quran, Surah-e-Nisa, Ayat/Verse No. 02]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Beshak namaaz behayaai aur bure kaamon se rokti hai”.* [Al-Quran, Surah-e-Ankabut, Ayat/Verse No. 45]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
 Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *"Woh musalmaan jis ki (logon ko) maaf karne ki aadat thi, woh Jannat mein jaane ka haqdaar hai".* [Book of kanzul ummaal, 7015]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Aadmi do cheezon ko na pasand karta hai, (haalaanke dono us ke liye behtar hain) ek maut ko, haalaanke maut momin ke liye fitnon se bachaao hai, doosre maal ki kami ko, haalaanke jitna maal kam hoga utna hi hisaab kam hoga".* [Book of Musnad-e-Ahmed, 23625]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Yaqeenan aadmi gunaahon ki wajah se rizq se mahroom kar diya jaata hai".* [Book of Musnad-e-Ahmed, 22413]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80