Daily Calendar Hadiths - 31 August 2022

 *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

► *"Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) doosre din ke liye kisi cheez ko jama karke nahin rakhte the.* [Book of Tirmizi, 2362]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Jo shakhs logo se maal le aur zaaye karne ka iraada rakhta ho to Allah us ke maal ko zaaye kar deta hai".* [Book of Bukhari, 2387]
    
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
 Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Allah Ta'ala ne tijaarat ko halaal aur sood (interest) ko haraam qaraar diya hai”.* [Al-Quran, Surah-e-Baqarah, Ayat/Verse No. 275]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Allah Ta'ala aakhirat ke iraade par duniya deta hai aur duniya ke iraade par aakhirat nahi deta".* [Book of Kanzul Ummaal, 7240]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Maa baap mein maa ka haq baap se ziyaada hai".* [Book of Bukhari, 5971]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80