Posts

Showing posts from May, 2022

Daily Calendar Hadiths - 31 May 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Kisi bhi qaum ka shareef aadmi agar tumhaare paas aaye to us ki izzat karo”.*   [Book of Ibn-e-Maajah, 3712] https://youtu.be/0eEcp0HRhH0 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Rishte naate ko todne waala: jannat mein daakhil nahein hoga ”.*  [Book of Muslim, 6684] https://youtu.be/4mx4Qtzpe-8 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: * “Dunyawi zindagi mein un ki rozi hum (Allah) ne hi taqseem (distribute) Kar rakhi hai aur ek ko doosre par martaba ke aitebaar se fazeelat de rakhi hai, taake ek doosre se kaam leta rahe".*  [Quran: Chapter/Surah-e-zakhruf: Verse/Ayat no. 81] https://youtu.be/YumqczBWXtQ •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Hamesha Sach bolo, chaahe us mein nuqsaan hi nazar aaye, kyun ke sac

Hazrat Umar (radi Allahu anhu) ko dekhkar shaitan raasta badal deta tha

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: *“ Hazrat Umar (radi Allahu anhu) ko dekhkar shaitan raasta badal deta tha. ”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Saad bin Waqas (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Hazrat Umar (radi Allahu anhu) ne Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) se andar aaney ki ijazat maangi aur aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ke pass us waqt Quraish ki aurtein baithi thi, aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) se baatein kar rahi thi aur unki aawazin buland thi. Jab Hazrat Umar (radi Allahu anhu) ne aawaz di to woh uth kar bhaag gayee chupney ke liye. Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne Hazrat Umar (radi Allahu anhu) ko ijazat di (andar aaney ki) aur aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) hans rahey thay. Hazrat Umar (radi Allahu anhu) ne kaha - *“ Ya Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam), Allah aapko hansta hua rakhey”. * Aap, Muhammad (ﷺ sallAlla

Daily Calendar Hadiths - 30 May 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► * "Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) Jab paani peete, to teen saans mein peete”.*   [Book of Abu Dawood, 3727] https://youtu.be/1_qR9trXSlk •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Gunaah woh hai jo tere dil mein khatke aur tujhe acchchha na lage ke logon ko us ki khabar ho”.*  [Book of Muslim, 6680] https://youtu.be/3rwzP1Hup9w •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Allah Ta'ala ke nazdeek sab se ziyaada izzat waala banda woh hai jo badla le sakta ho phir bhi maaf karde”.*  [Book of Sho'abul Imaan, 8327] https://youtu.be/_fF_8osnSZs •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  *“Allah Ta'ala farmaata hai: Jis ne paani ka kunwaan khudwaaya aur us se kisi pyaase parinde, jinn ya insaan ne paani piya, toh qayaamat ke din Allah us ka s

Qayamat ki nishaniya

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Hadith: * “Qayamat ki nishaniyon mein hai ki..” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu): ❶ Hazrat Anas bin Malik (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Qayamat ki nishaniyon mein hai ki Ilm utha liya jayega, aur jahalat qayam ho jaayegi ya phail jaayegi, aur sharaab pee jaayegi aur zina zaahir khullam khulla hoga”. * [Sahih Muslim, 6785] ❷ Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Qareeb ho jayega zamana (Qayamat ke), aur utha liya jayega ilm, aur aalam (duniya) mein fasaad phail jayega, aur dilon mein bakheeli daali jaayegi (log zakat aur khairat na dengey) aur ‘Harj’ bahut hoga”. * Logo’n (Sahaba, radi Allahu anhuma) ne poocha - * “Ya Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam), ‘Harj’ kya hai?” * Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne jawab mein fa

Teen aadmi aise hain jinki aankhe Qayamat ke din Dozakh ki aag ko nahi dekhegi

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Hadith: *" Teen aadmi aise hain jinki aankhe Qayamat ke din Dozakh ki aag ko nahi dekhegi. "* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *" Teen Aadmi aise hain jinki Aankhein Qayamat ke din dozakh ki aag ko nahi dekhegi:*  *1. Wo aankh jo Allah ke darr se roye,* *2. Wo aankh jisne Allah ke raaste mein pahra diya,* *3. Wo aankh jisne Allah ki haraam ki huyee cheezon ko nahi dekha. "* [Al-Silsila-tus-Sahiha, 1477] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया  - * "तीन आदमी ऐसे हैं जिनकी आँखें क़यामत के दिन दोज़ख की आग को नहीं देखेंगी: * * 1. वो आँख जो अल्लाह के डर से रोये, * * 2. वो आँख जिसने अल्लाह सुबहानहु के रास्ते में पहरा दिया, * * 3. वो आँख जिसने अल्लाह की हराम की हुई चीज़ों को नहीं देखा l" * [अल सिलसिला अस-सहीहा, 1477] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Hadith: *" Three eyes will not see the Hel

Daily Calendar Hadiths - 29 May 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Itminaan dilaao, nafrat na paida karo”.*  [Book of Bukhari, 6125] https://youtu.be/_0T6k0k3vsk •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Tum apne kisi bhai se aisa waada mat karo, jis ko poora na kar sako ”.*  [Book of Tirmizi :1995] https://youtu.be/2VN_VGN9SRI •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  *“Jo shakhs jhooti qasam kha kar kisi ka maal le lega, woh Allah ke saamne kodhi ho kar pesh hoga”.*   [Book of Abu Daaood, 3244] https://youtu.be/LSal5Acwlt8 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► *"Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) Ko jab chheenk aati, to haath ya kapde se chehra-e-anwar ko dhaank lete aur aawaaz ko past (dheemi) karte the”.*   [Book of Tirmizi, 2745] https://youtu.be/eorKF8Mcaqw •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta

Allah ke nazdeek, sab mardo mein bura woh mard hai jo...

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Hadith: * “Allah ke nazdeek, sab mardo mein bura woh mard hai jo...” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Ummul Momineen Aayesha (radi Allahu anha) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Allah ke nazdeek, sab mardo mein bura woh mard hai jo bada ladaka jhagadalu ho”. * [Sahih Muslim, 6780] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): उम्मुल मोमिनीन आइशा (रदी अल्लाहू अन्हा) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - * “अल्लाह के नज़दीक, सब मर्दों में बुरा वह मर्द है जो बड़ा लड़ाका झगड़ालू हो ।" * [सहीह मुस्लिम, 6780] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Hadith: * “The most despicable (hated) amongst persons (men) in the eye of Allah is…” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (English): Narrated Aisha (may Allah be pleased with him) that the Messenger of Allah, Prophet Muhammad (ﷺ peace be upon him) said - * “The most despicable (hated) amongst persons (men) in the eye o

Daily Calendar Hadiths - 28 May 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Jo shakhs apne bhai ki (kisi tarah) madad karta hai, to Allah uski madad karta hai”. * [Book of Muslim, 6853] https://youtu.be/9RH5RguMOAA •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Logon mein sab se achchha woh aadmi hai jis se logon ko nafa pahonche”. *  [Book of Sho'abul Imaan, 7658] https://youtu.be/7zidkTajEHE •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Jo aurat duniya se is haal mein chali jaaye ke us ka shohar us se raazi tha, to woh Jannat mein daakhil hogi”. * [Book of Mustadrak, 884] https://youtu.be/pYjCxNaRZ2Y •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Koi mard kisi ajnabi aurat ke sath tanhayi mein na baithe, warna un mein teesra shaitaan hota hai”. * [Book of Tirmizi, 2165] https:/

Daily Calendar Hadiths - 27 May 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Dus saal ki Umar mein (bahen bhai ko) alag alag bistaron par sulao”.*   [Book of Abu Daaood, 495] https://youtu.be/HhP-pfg2Tmc •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: * “Jab tumhein koi shakhs salaam kare, to tum us se bhi behtar tareeqe par salaam Karo (jawaab do) ya (Kam az Kam) un hi alfaaz mein us ka jawaab de do".*  [Quran, Chapter/Surah-e-Nisa: Verse/Ayat no. 86] https://youtu.be/ObtqgkqGyZU •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: * “Beshak Allah kisi itraane waale badaai maarne waale ko pasand nahin karta".*  [Quran, Chapter/Surah-e-Nisa: Verse/Ayat no. 36] https://youtu.be/Z77uG5E6kIA •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya:  *“Gunaah aur zulm-o-ziyaadati mein madad na Karo, aur Allah se darte raho, be shak Allah Ta'ala ka azaab bho

Daily Calendar Hadiths - 26 May 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Jo aadmi tumhaare paas koi cheez bataure amaanat rakhe, to us ki amaanat waapas Kar do”.*   [Book of Abu Daaood, 3535] https://youtu.be/rCnAM_zJf88 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Yaad rakho ke Allah Ta'ala aise shakhs ki dua qabool nahein karta, jis ka dil (dua ke waqt) gaafil aur be parwah ho”.*   [Book of Tirmizi, 3479] https://youtu.be/5sdnWoQ_KaU •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: * “Agar tum neki karoge to apne hi (faaide ke) liye karoge".*  [Quran, Chapter/Surah-e-Bani israael: Verse/Ayat no. 07] https://youtu.be/OIBd0ASND_I •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Tum qabron ki ziyaarat Kar Liya Karo, is ka faaida yeh hoga ke tumhaara yeh amal tumhe akhirat yaad dilaayega ”.*  [Book o

Agar-magar karna shaitaan ke liye raah kholna hai

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Hadith: *“ Agar-magar karna shaitaan ke liye raah kholna hai. "* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Zabardast Musalman (jis ka Imaan qawi / taqatwar ho, Allah Ta’ala par bharosa rakhta ho, aakhirat ke kaamon mein himmatwala ho) Allah Ta’ala ke nazdeek behtar aur Allah Taala ko zyada pasand hai naatawa’n (kamzor) musalman se, aur har ek tarah ka musalman behtar hai, hirs (laalach) kar in kaamon ki jo tujh ko mufeed hain (yaani aakhirat mein kaam denge) aur madad maang Allah Ta’ala se aur himmat mat haar, aur jab tujh par koi museebat aaye to yun mat keh: ‘agar main aisa karta to yeh museebat kyun aati’ lekin yun keh: ‘Allah Taala ki (likhi huyi) taqdeer mein aisa hi tha, jo usney chaha kiya’, ‘agar-magar’ karna shaitan ke liye raah kholna hai”. * [Sahih Muslim, 6774] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी)