Daily Calendar Hadiths - 27 May 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Dus saal ki Umar mein (bahen bhai ko) alag alag bistaron par sulao”.*  [Book of Abu Daaood, 495]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Jab tumhein koi shakhs salaam kare, to tum us se bhi behtar tareeqe par salaam Karo (jawaab do) ya (Kam az Kam) un hi alfaaz mein us ka jawaab de do".* [Quran, Chapter/Surah-e-Nisa: Verse/Ayat no. 86]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Beshak Allah kisi itraane waale badaai maarne waale ko pasand nahin karta".* [Quran, Chapter/Surah-e-Nisa: Verse/Ayat no. 36]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Gunaah aur zulm-o-ziyaadati mein madad na Karo, aur Allah se darte raho, be shak Allah Ta'ala ka azaab bhout sakht hai".* [Quran, Chapter/Surah-e-Maaidah: Verse/Ayat no. 02]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Allah Ta'ala farmaate hain: Jab main duniya waalon mein se apne kisi momin bande ka koi azeez le leta hoon aur woh sabr karta Hai, to us ke liye siwaaye Jannat ke mere paas koi ajr nahin hai”.*  [Book of Bukhari, 6424]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80