Daily Calendar Hadiths - 26 May 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jo aadmi tumhaare paas koi cheez bataure amaanat rakhe, to us ki amaanat waapas Kar do”.*  [Book of Abu Daaood, 3535]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Yaad rakho ke Allah Ta'ala aise shakhs ki dua qabool nahein karta, jis ka dil (dua ke waqt) gaafil aur be parwah ho”.*  [Book of Tirmizi, 3479]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Agar tum neki karoge to apne hi (faaide ke) liye karoge".* [Quran, Chapter/Surah-e-Bani israael: Verse/Ayat no. 07]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Tum qabron ki ziyaarat Kar Liya Karo, is ka faaida yeh hoga ke tumhaara yeh amal tumhe akhirat yaad dilaayega ”.* [Book of Ibn-e-Maaja, 1569]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Tum gawaahi ko mat chhupaao aur Jo shakhs gawaahi ko chhupaaye, bila shubah us ka dil gunehgaar hoga aur jo amal bhi tum karte ho Allah Ta'ala use khoob jaanta hai".* [Quran, Chapter/Surah-e-Baqarah: Verse/Ayat no. 283]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 

Popular posts from this blog

Aakhri ashre mein Qayam Al Lail (Tahajjud) ki namaz

“Zakat-ul-Fitr Ghulam aur Azaad, Mard aur Aurat, Chotey aur Badey tamaam Musalmano par farz hai.”

Iss dua ko raat ko padhne ke baad agar maut bhi aajaye to Islam par hogi