Posts

Showing posts from July, 2022

Daily Calendar Hadiths - 31 July 2022

Image
  *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*   •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Halaak ho rupye paise ke gulaam! Ke agar use diya jaaye to khush ho jata hai aur agar na diya jaaye to naaraaz ho jaata hai”.* [Book of Bukhari, 6435] https://youtu.be/I6v4I_NCJfA •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Haya imaan ki ek shaakh hai (ya imaan ka samra hai) aur imaan ka maqaam jannat hai”.* [Book of Tirmizi, 2009] https://youtu.be/3Y6eo8UDQsQ •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Taaqat ke baawajood gussa pi jaane waale shakhs ko Allah Ta'ala qayaamat ke din tamaam makhlooq ke saamne bula kar ikhtiyaar denge ke wo jis hoor ko chaahe use apne liye pasand kar le ”.* [Book of Abu dawood, 4777] https://youtu.be/yeskYv2rpyg •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jis ne sub

Daily Calendar Hadiths - 30 July 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*   •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  *"Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne mardon jaisi shakl wa soorat aur libaas ikhtiyaar karne waali auraton par laanat farmaai hai."* [Book of Bukhari, 5885] https://youtu.be/JM7kDfJUU-8 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  *“Buraai ko mitaane ke liye neki kar liya karo”.* [Book of Tirmizi, 1987] https://youtu.be/Tmz8euRujHw •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *“Jo shakhs zulm wa ziyaadati kr taur par aisa (naahaq maal khana, qatl wa khoon) karega to ham us ko aag (Jahannam) mein daakhil karenge aur yeh baat Allah kr liye bahot aasaan hai".*  [Al-Quran, Chapter/Surah-e-Nisa, Verse/Ayat no. 30] https://youtu.be/9XJhi_fAups •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *“Yeh dunyavi zindagi toh bas thoda sa maza hai, aur yaqeen jaano ke aakhirat hi rehne basne ka

Tum mein se koi shakhs jab apne Islam ko umda bana le

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Hadith: * “Tum mein se koi shakhs jab apne Islam ko umda bana le…” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Tum mein se koi shakhs jab apne Islam ko umda bana le (yani Nifaaq aur Riya se paak kar le) to har naik kaam jo woh karta hai uske ewaz (badle) 10 se lekar 700 guna tak naikiyan likhi jaati hain aur har bura kaam jo woh karta hai woh utna hi likha jaata hai” (jitna usney kiya hai). ” * [Sahih Bukhari, Jild 1, 42] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अबू हुरैराह (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - * “तुम में से कोई शख़्स जब अपने इस्लाम को उम्दा बना ले (यानि निफ़ाक़ और रिया से पाक कर ले) तो हर नेक काम जो वह करता है उसके एवज़ (बदले) 10 से लेकर 700 गुना तक नेकियां लिखी जाती हैं और हर बुरा काम जो वह करता है वह उतना ही लिखा जाता है” (जितना उ

Daily Calendar Hadiths - 29 July 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*   •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  *Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne aurton jaisi shakl wa soorat aur libaas ikhtiyaar karne waale mardon par laanat farmaai hai.* [Book of Bukhari, 5885] https://youtu.be/RSXlAHL0lLc •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Woh nikah bahot ziyaada barkat waala hai, jis ka bojh kam se kam pade”.* [Book of Sho'bul Imaan, 6566] https://youtu.be/FZyouZAVdDI •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jis ki aankhein Allah ki haraam ki huwi cheezon ko dekhne se ruki rahein, woh Jahannam mein nahin jaayega”.* [Book of Attargeeb lil Munziri, 5031] https://youtu.be/hB6MTglzlRM •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *“Ae Imaan waalon! Tum aisi baat kyun kehte ho jo karte nahi? Yeh baat Allah ke nazdeek badi naraazgi ki hai ke tum aisi baatein kaho jin par amal na

Daily Calendar Hadiths - 29 July 2022

Image
  *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*   •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  *"Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne aurton jaisi shakl wa soorat aur libaas ikhtiyaar karne waale mardon par laanat farmaai hai."* [Book of Bukhari, 5885] https://youtu.be/RSXlAHL0lLc •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Woh nikah bahot ziyaada barkat waala hai, jis ka bojh kam se kam pade”.* [Book of Sho'bul Imaan, 6566] https://youtu.be/FZyouZAVdDI   •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jis ki aankhein Allah ki haraam ki huwi cheezon ko dekhne se ruki rahein, woh Jahannam mein nahin jaayega”.* [Book of Attargeeb lil Munziri, 5031] https://youtu.be/hB6MTglzlRM •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *“Ae Imaan waalon! Tum aisi baat kyun kehte ho jo karte nahi? Yeh baat Allah ke nazdeek badi naraazgi ki hai ke tum aisi baatein kaho

Jumay ke din is waqt tak Roza na rakhe jab tak

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Hadith: * “Jumay ke din is waqt tak Roza na rakhe jab tak…” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Koi bhi shakhs Jumay ke din is waqt tak Roza na rakhe jab tak is se ek din pehle ya is ke ek din baad roza na rakhta ho”. * [Sahih Bukhari, 1985] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अबू हुरैराह (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - * “कोई भी शख़्स जुमे के दिन इस वक़्त तक रोज़ा न रखे जब तक इस से एक दिन पहले या इस के एक दिन बाद रोज़ा ना रखता हो।" * [सही बुख़ारी, 1985] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Hadith: * “None of you should Fast on Friday…” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (English): Narrated Abu Hurairah (may Allah be pleased with him) that the Messenger of Allah, Prophet Muhammad (ﷺ peace be upon him) said - * “None of you should Fast on Friday

Daily Calendar Hadiths - 28 July 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*   •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: * “Dunyaawi zindagi to kuchh bhi nahi, sirf dhoke ka saamaan hai".*  [Quran, Chapter/ Surah-e-Aal-e-Imran: Verse/Ayat no. 185] https://youtu.be/I29bS_ExV3g •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jo shakhs Allah aur aakhirat ke din par imaan rakhta ho, to use chaahiye ke rishtedaaron ke saath achchha sulook kare”.* [Book of Bukhari, 6138] https://youtu.be/wjpJ1LD88C8 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► *" Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) jab bachchon ke paas se guzarte to khud un bachchon ko salaam kiya karte the”.* [Book of Tirmizi, 2696] https://youtu.be/9NmwIfoFyiU •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Paak (saaf) rehna aadha Imaan hai”.*  [Book of Muslim, 556] https://youtu.be/hIyKrHfGjrk •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhamma

Shahar-e-Madina ki Azmat - Greatness of Madina city

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “Shahar-e-Madina ki Azmat.” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu): ❶ Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Madine ke raaston par Farishte hain, na ismein Taoon (plague ki beemari) aa sakti hai aur na dajjal”. * [Sahih Bukhari, Jild 3, 1880] ❷ Hazrat Anas (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Eh Allah, jitni Makka mein barkat ata farmayee hai, Madiney mein us se duguni barkat ata farma”. * [Sahih Bukhari, Jild 3, 1885] ❸ Hazrat Aisha (radi Allahu anha) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Ya Allah, hamare dilon mein Madine ki mohabbat is tarah paida kar de jaise Makka ki muhabbat hai, bulki is se bhi ziyada”. * [Sahih Bukhari, Jild 3, 1889] ❹ Hazrat Ibn Umar (radi Allahu anhu) se rivayat hai