Daily Calendar Hadiths - 30 July 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

► *"Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne mardon jaisi shakl wa soorat aur libaas ikhtiyaar karne waali auraton par laanat farmaai hai."* [Book of Bukhari, 5885]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Buraai ko mitaane ke liye neki kar liya karo”.* [Book of Tirmizi, 1987]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *“Jo shakhs zulm wa ziyaadati kr taur par aisa (naahaq maal khana, qatl wa khoon) karega to ham us ko aag (Jahannam) mein daakhil karenge aur yeh baat Allah kr liye bahot aasaan hai".* [Al-Quran, Chapter/Surah-e-Nisa, Verse/Ayat no. 30]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *“Yeh dunyavi zindagi toh bas thoda sa maza hai, aur yaqeen jaano ke aakhirat hi rehne basne ka asal ghar hai".* [Al-Quran, Chapter/Surah-e-Momin, Verse/Ayat no. 39]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jab aadmi apni biwi ko paani pilaata hai to us par bhi sawaab diya jaata hai ”.* [Book of Musnade Ahmed, 17155]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80