Daily Calendar Hadiths - 28 July 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *“Dunyaawi zindagi to kuchh bhi nahi, sirf dhoke ka saamaan hai".* [Quran, Chapter/ Surah-e-Aal-e-Imran: Verse/Ayat no. 185]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jo shakhs Allah aur aakhirat ke din par imaan rakhta ho, to use chaahiye ke rishtedaaron ke saath achchha sulook kare”.* [Book of Bukhari, 6138]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *"Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) jab bachchon ke paas se guzarte to khud un bachchon ko salaam kiya karte the”.* [Book of Tirmizi, 2696]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Paak (saaf) rehna aadha Imaan hai”.* [Book of Muslim, 556]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Tum paani choos choos kar piyo aur gataagat na piyo, is ki wajah se jigar ki beemaari hoti hai”.* [Book of Sho'bul Imaan, 6012]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Aakhri ashre mein Qayam Al Lail (Tahajjud) ki namaz

“Zakat-ul-Fitr Ghulam aur Azaad, Mard aur Aurat, Chotey aur Badey tamaam Musalmano par farz hai.”

Iss dua ko raat ko padhne ke baad agar maut bhi aajaye to Islam par hogi