Daily Calendar Hadiths - 29 July 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

► *Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne aurton jaisi shakl wa soorat aur libaas ikhtiyaar karne waale mardon par laanat farmaai hai.* [Book of Bukhari, 5885]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Woh nikah bahot ziyaada barkat waala hai, jis ka bojh kam se kam pade”.* [Book of Sho'bul Imaan, 6566]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jis ki aankhein Allah ki haraam ki huwi cheezon ko dekhne se ruki rahein, woh Jahannam mein nahin jaayega”.* [Book of Attargeeb lil Munziri, 5031]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *“Ae Imaan waalon! Tum aisi baat kyun kehte ho jo karte nahi? Yeh baat Allah ke nazdeek badi naraazgi ki hai ke tum aisi baatein kaho jin par amal na karo".* [Quran, Chapter/ Surah-e-Saf: Verse/Ayat no. 2,3]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Woh shakhs Jannat mein nahin jaayega, jis ke dil mein zarra baraabar bhi takabbur hoga”.* [Book of Muslim, 265]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80