Posts

Showing posts from February, 2022

Daily Calendar - Quran & Hadith - 28 February 2022

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim *  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya:  *“Sab se achcha aadmi woh hai jise gussa der se aaye aur jaldi chala jaaye”.*  [Book of Tirmizi, 2191] https://youtu.be/j75RAXix6gc •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya:  *"Padho, apne parwardigar ka naam le kar jisne sab kuchh paida kiya".*  [Quran, Chapter/Surah -Al-Alaq: Verse/Ayat no. 01] https://youtu.be/6ktGtwqJqDE •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ►  Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya:  *"Dozakh waale aur jannat waale baraabar nahin ho sakte, jannat waale hi kaamyaab hai".*  [Quran, Chapter/Surah Hashr: Verse/Ayat no. 20] https://youtu.be/v8clkXnEb2I •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya:  Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *"Apne parwardigaar ke naam ki tasbeeh karo, jis ki shaan sab se oonchi hai, jis ne sab kuch paida kiy

Achchi baat kaho warna khamosh raho, Padosi ko takleef na pahunchao aur Mehmaan ki izzat karo

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: *“ Achchi baat kaho warna khamosh raho, Padosi ko takleef na pahunchao aur Mehmaan ki izzat karo .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Jo koi Allah aur aakhirat ke din par Imaan rakhta hai, usey chahiye ki achchi baat kahe warna khamosh rahe aur jo koi Allah aur aakhirat ke din par Imaan rakhta hai, woh apne Padosi (neighbor) ko takleef na pahunchaye; aur jo koi Allah aur aakhirat ke din par yaqeen rakhta ho, woh apne Mehmaan ki izzat kare ".* [Sahih Bukhari, Jild 7, 6475] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► अहादीस / हदीसें (हिंदी): हज़रत अबू हुरैराह (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - *“ जो कोई अल्लाह और आख़िरत के दिन पर ईमान रखता है, उसे चाहिए की अच्छी बात कहे वरना ख़ामोश रहे और जो कोई अल्लाह और आख़िरत के दिन पर ईमान रखता है, वह अपने पड

Aur jab tumhein koi dua de to tum us se behtar dua do ya waise hi de do

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran: *“ Aur jab tumhein koi dua de to tum us se behtar dua do ya waise hi de do .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran (Roman Urdu): *" Aur jab tumhein koi dua de to tum us se behtar dua do ya waise hi de do ".* [Al-Quran, Surah An-Nisa (4), Aayat 86] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ अल क़ुरान (हिंदी): *" और जब तुम्हे कोई दुआ दे तो तुम उस से बेहतर दुआ दो या वैसे ही दे दो । "* [अल क़ुरान, सुरह निसा (4), आयत 86] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran: *“ And when someone prays for you, you pray better than him or the like .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran: *" And when someone prays for you, you pray better than him or the like for him ".* [Al-Quran, Surah An-Nisa (4), Verse 86] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• القرآن: *" اور جب تمہیں کوئی دعا دے تو تم اس سے بہتر دعا دو یا ویسی ہی دے دو ۔"* _سورت نيسا (٤)، آیت ٨٦ •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ----- Please visit our NEW BlogSpot https://dailyquranhadiths.blogspot.com/2022/02/aur-jab-tumhein-koi-dua-d

Daily Calendar - Quran & Hadith - 27 February 2022

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim *  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya:  *“Us shakhs ke liye barbaadi hai, jo logon ko hasaane ke liye jhooth bole”.*  [Book of Abu Daaood, 4990] https://youtu.be/zpXyaK-EuC4 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya:  *“Allah us muttaqi daulatmand bande se muhabbat karta hai, jo (taqwa aur daulat ke baawjood) naama’roof aur chhupa huwa ho”.*  [Book of Muslim, 7621] https://youtu.be/9HV55Xzzq5Y •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya:  *“Jab kisi gunehgaar ki taareef ki jaati hai, to Allah Ta’ala gussa hota hai aur arsh kaanp uthhta hai”.*   [Book of Sho’abul Imaan, 4886 ] https://youtu.be/GTwKBXMZYh8 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya:  *“Jo shakhs apni zabaan aur sharmgaah ki hifaazat ki zimmedaari lele, main us ke liye jannat ki zi

Deen mein izaafa - Biddat

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: *“ Deen mein izaafa - Biddat .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu):  ❶ Hazrat Abdullah Bin Masood (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Main Hauz-e-Kausar par tum logo ka paish khaima (predecessor) hounga aur tum mein se kuch log meri taraf aayenge jab main unhe Hauz ka pani dene ke liye jhukunga to unhe mere saamne se kheench liya jayega. Main kahunga: 'Eh mere Rab, ye to meri ummat ke log hain'. Allah Taala farmayega: 'Aapko maloom nahi ke unhone aapke baad deen mein kya nayee batein nikal li thi' ."* [Sahih Bukhari, Jild 8, 7049] ❷ Umma Ayesha Abdullah (radi Allahu anha) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Jisne hamare deen mein aisee baat ka ezafa kiya jo usmein nahi to uski baat Qubul nahi hai ".* [Sunan Ibn Majah, Jild 1, 14-Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► अहादीस

Daily Calendar - Quran & Hadith - 26 February 2022

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim *  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya:  *“Gunaah se tauba karne waala, gunaah na karne waale ki tarah hai”.*  [Book of Ibn-e-Maaja, 4250] https://youtu.be/eAScWKRWMN8 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya:  *“Aadmi ki khud ko behtar samjhne ki aadat; sab se ziyaada halaak karne waali hai”.*  [Book of Sho’abul Imaan, 7252] https://youtu.be/S0Z40o3GpnY •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ►  Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya : *"Aur ek dusray ka maal na-haq na khao aur na is ko ( rishwat ) hakimon ke paas pahuchao takay logon ke maal ka kuch hissa najaaiz taur par khajao aur ( usay ) tum jantay bhi ho".*  [Quran, Chapter/Surah -Al-Baqarah: Verse/Ayat no. 188] https://youtu.be/BlTGeU_X4hw •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya:  *“Aamaal ka daaromadaar niyyaton par hai”.*  [Boo

Aur wo apni chaal chal rahe they aur Allah apni tadbir kar raha tha aur Allah sabse behtareen tadbeer karne wala hai

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran: *“ Aur wo apni chaal chal rahe they aur Allah apni tadbir kar raha tha aur Allah sabse behtareen tadbeer karne wala hai .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran (Roman Urdu): *" Aur wo apni chaal chal rahe they aur Allah apni tadbir kar raha tha aur Allah sabse behtareen tadbeer karne wala hai ".* [Al-Quran, Surah Anfal (8), Aayat 30] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ अल क़ुरान (हिंदी): *" और वो अपनी चाल चल रहे थे और अल्लाह अपनी तदबीर कर रहा था और अल्लाह सबसे बेहतरीन तदबीर करने वाला है ।"* [अल क़ुरान, सुरह अनफाल (8), आयत 30] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran: *“ But they plan, and Allah plans. And Allah is the best of planners .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran: *" But they plan, and Allah plans. And Allah is the best of planners ".* [Al-Quran, Surah Anfal (8), Verse 30] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• القرآن: *" اور وہ اپنی چال چل ریے تھے اور الله اپنی تدبیر کر رہا تھا اور الله سب سے بہترین تدبیر کرنے والا ہے ۔"* _سورت أنفال

Muazzin aur Jamaat se namaz padhne waale ki ehmiyat

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: *“ Muazzin aur Jamaat se namaz padhne waale ki ehmiyat .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Muazzin (azaan dene wala) bakhsh diya jaata hai, jaha tak uski aawaaz jaati hai, aur uske liye tamaam khushk (sookha) aur tar (geela) gawaahi dete hain, aur jo shakhs (Jamaat ki) Namaz mein haazir hota hai iske liye 25 Namazon ka sawaab likha jaata hai aur ek Namaz se dusri Namaz tak ke darmiyan jo kotaahi (ghalti) ho woh mita di jaati hai ".* [Sunan Abu Dawood, Jild 1, 513-Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अबू हुरैराह (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - *“ मुअज़्ज़िन (अज़ान देने वाला) बख़्श दिया जाता है, जहा तक उसकी आवाज़ जाती है, और उसके लिए तमाम ख़ुश्क़ (सूखा) और तर (गीला) गवाही देते हैं, और जो शख़्स (जमात की) नमाज़ में हाज़

Daily Calendar - Quran & Hadith - 25 February 2022

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim *  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya:  *"Rishtedaaron, yateemon aur gareebon ke saath bhi achchha bartaao karo".*  [Quran, Chapter/Surah -Al-Baqrah: Verse/Ayat no. 83] https://youtu.be/3uVyHavAh6g •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya:  *“Allah Ta’ala ko 3 baatein na pasand hain: (1) fuzool baatein, (2) rupya paisa barbaad karna, (3) bila zaroorat kasrat se maangna”.*  [Book of Bukhari, 1477 ] https://youtu.be/24Vvua6258E •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya:  *“Jis ne paani ka kunwaan khudwaaya aur us se kisi pyaase parinde, jin ya insaan ne paani piya, to qayaamat ke din Allah Ta’ala us ko ajr ata farmaayega”.*  [ Book of Sahih Ibn E khuzaima, 1292 ] https://youtu.be/9mJLnofjUMA •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ko:  *“Jab bhi koi ahem kaam p

Ye Azkaar arsh ke pass jakar usko padhne wale ka Tazkira karte hain

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *" Ye Azkaar arsh ke pass jakar usko padhne wale ka Tazkira karte hain. "* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *" Jab log Tasbeeh (SubhaanAllah), Tamheed (Alhamdulillah), Takbir (Allahu Akbar), Tehleel (La ilaaha IllAllah) ki surat mein Allah Subhanahu ke jalaal ka zikr karte hai to ye (azkaar) arsh ke ird-gird aajazi karte hain, aur Shahed ki makkhi ki bhin-bhinahat ki tarah unki awaaz hoti hai aur ye apne zikr karne wale ka tazkira karte hain. Toh kya ab tum log nahi chahte ke tumhara koi aisa aamal ho jo (arsh ke paas) tumahari yaad dilata rahe" .* [Musnad Ahmed, 5464-Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने - * "जब लोग तसबीह ( सुबहानअल्लाह), तमहीद (अल्हम्दुलिल्लाह), तकबीर ( अल्लाहू अकबर) और तहलील (ला ईलाहा ईललल्लाह) की सूरत में अल्लाह सुबहानहु के जलाल का ज़िक्र करते

Daily Calendar - Quran & Hadith - 24 March 2022

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim *  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  *“Poori insaaniyat mil kar kisi ko utna hi nuqsaan pahoncha sakti hai, jitna Allah Ta’ala ne likh diya hai".*  [Book of Tirmizi, 2516] https://youtu.be/nylg2IGWxfM •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  *“Lazzaton ko todne waali cheez yaani maut ko kasrat se yaad kiya karo".*  [Book of Sunan-Al-Tirmizi, 2307] https://youtu.be/nKDXZe1rA6A •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  *“Logon mein achchha aadmi woh hai jise gussa der se aaye ahr jaldi chala jaaye".*  [Book of Tirmizi, 2191] https://youtu.be/LQE9rd396GY •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne:  *“la’anat bheji hai sood (interest) khaane waale par, aood khilaane wale par, sood ke likhne waale par aur hs ke dono gawaahon par".* 

Daily Calendar - Quran & Hadith - 24 February 2022

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim *  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya:  *“Jhooti qasam kha kar maal to bik jaaye ga, lekin tijaarat se barkat uth jaaye gi”.*  [Book of Bukhari, 2082] https://youtu.be/YdwTnEFDBWw •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya:  *“Kisi ke liye jaaiz nahein ke kisi ke yahaan itne din mehmaan bane ke mezbaan tang ho jaaye”.*  [Book of Aladabul Mufrad, 743] https://youtu.be/D6olkcxLjS4 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) :  *“Jab kisi ke yahaan tashreef le jaate to darwaaze ke saamne khade na hote, balke daaein baaein khade hote aur farmaate: As salaamu Alaikum, As salaamu alaikum”.*  [Book of Abu Daaood, 5186] https://youtu.be/EgHEU5VsfrI •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya:  *“Jo shakhs (logon se) maangne ka darwaaza kholta hai, Allah Ta’ala us par

Kisi ke ghar mein bagair ijaazat ke na jaaya karo, na jhaanka karo…

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-Al-Quran-o-Hadith: *“ Kisi ke ghar mein bagair ijaazat ke na jaaya karo, na jhaanka karo… ”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran: *“ Eh Imaan walo, apne gharon ke siwa aur kisi ke gharon mein na jaaya karo, jab tak ki ijaazat na le lo aur ghar walo ko salam na kar lo; yeh tumhare liye behtar hai, taki tum naseehat hasil karo ”.* [Al Quran, Surah An-Noor (24), 27] ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Agar koi shakhs tumhare ghar mein tumse ijaazat liye bagair jhaank raha ho aur tum usey kankari (chota sa paththar) maaro jis se uski aankh phoot jaaye, to tum par koi saza nahi hai ”.* [Sahih Bukhari, Jild 8, 6888] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ अल क़ुरआन (हिंदी): *" एह ईमान वालो, अपने घरों के सिवा और किसी के घरों में ना जाया करो, जब तक की इजाज़त ना ले लो और घर वालो को सलाम ना कर लो; ये तुम्हारे लिए बेहतर है, ताकि तुम नसीहत हासिल करो

Neik biwi bachon ke liye dua

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Dua: * Neik biwi bachon ke liye dua .* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• --- * رَبَّنَا هَبْ لَنَا مِنْ أَزْوَاجِنَا وَذُرِّيَّاتِنَا قُرَّةَ أَعْيُنٍ وَاجْعَلْنَا لِلْمُتَّقِينَ إِمَامًا* _القرآن، سورة ال فرقان (٢٥)، آیت ٧٤_ --- * Rabbana hab lana min azwajina wa zurriyatina qurrata aayunin waj'alna lilmuttaqeena imama .* _Aameen_  (Al Quran, Surah Al Furqan (25), Verse/Ayat 74) •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• --- * Eh hamare Rabb, humko hamari biwiyo aur aulado ki taraf se aankho ki thandak ata farma aur humko parhezgaro ka Imam bana .* _Aameen_ (Al Quran, Surah Al Furqaan (25), Ayat 74) --- * एह हमारे रब, हमको हमारी बीवियों और औलादों की तरफ से आँखों की ठंडक अता फरमा और हमको परहेज़गारों का इमाम बना l* _(आमीन)_ (अल क़ुरान, सुरह अल फ़ुरक़ान (2), आयत 74) •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Dua: * Quranic supplication for having good wife and children .* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• --- * رَبَّنَا هَبْ لَنَا مِنْ أَزْوَاجِنَا وَذُرِّيَّاتِنَا قُرَّةَ أَعْيُنٍ وَاجْعَلْنَا لِلْمُتَّقِينَ إ

Daily Calendar - Quran & Hadith - 23 February 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: * "Agar tum shukr karoge, to mai (Allah) tum ko apni neamatein aur zyaada ataa karunga". * [Quran, Chapter/Surah -E-Ibraahim: Verse/Ayat no. 07] https://youtu.be/gfxDQiPMs28  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: * "Tum gawaahi ko mat chhupaao aur jo shakhs gawaahi ko chhupaaye bila shubah us ka dil gunehgaar hoga aur jo amal bhi tum karte ho Allah Ta'ala use khoob jaanta hai". * [Quran, Chapter/Surah Baqarah: Verse/Ayat no. 283] https://youtu.be/g5l0ZhhN-EQ    •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: * “Agar insaan ke pass maal-o-daulat ke 2 jungle bhi ho jaaein to woh teesre ki khwaahish karega aur insaan ka pet to qabr ki mitti hi bhar sakti hai”. * [Book of Bukhari, 6436] https://youtu.be/NlvaZN4t4c4  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad