Daily Calendar - Quran & Hadith - 27 February 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: *“Us shakhs ke liye barbaadi hai, jo logon ko hasaane ke liye jhooth bole”.* [Book of Abu Daaood, 4990]
https://youtu.be/zpXyaK-EuC4
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: *“Allah us muttaqi daulatmand bande se muhabbat karta hai, jo (taqwa aur daulat ke baawjood) naama’roof aur chhupa huwa ho”.* [Book of Muslim, 7621]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: *“Jab kisi gunehgaar ki taareef ki jaati hai, to Allah Ta’ala gussa hota hai aur arsh kaanp uthhta hai”.* [Book of Sho’abul Imaan, 4886]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: *“Jo shakhs apni zabaan aur sharmgaah ki hifaazat ki zimmedaari lele, main us ke liye jannat ki zimmedaari leta hoon”.* [Book of Bukhari, 6474]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) Teen martaba Allah ki qasam kha kar farmaaya: *“Woh aadmi (kaamil) Imaan waala nahin ho sakta, jis ka padosi us ki sharaaraton se mehfooz na ho”.* [Book of Bukhari, 6016]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
----- Please visit our NEW BlogSpot

*WhatsApp Groups*

*Telegram Channel:*

► *LIKE, FOLLOW & SHARE this Page:*


•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *Subscribe to our YouTube channels:*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Kisi se khauff ya khatre ke waqt padhne ki dua