Daily Calendar - Quran & Hadith - 30.Dec.2021

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Neki ka badla ehsaan wa ikraam ke siwa aur kya ho sakta hai?”.* [Quran: Chapter/Surah-e-Rahman: Verse/Ayat no. 60]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya : *”Pahelwaan woh nahein hai, jo saamne waale ko pachhaad de, balke pahelwaan haqeeqat mein woh hai, jo gusse ke waqt apne nafs (aap) par qaabu rakhe”.* [Book of Bukhari, 6114]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya : *”Jo shakhs aisa raasta chale, jis ka maqsad ilm ki talaash ho, toh Allah Ta'ala us ke liye jannat ka raasta aasaan kar deinge”.* [Book of Muslim, 6853]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Jo shakhs zulm-o-ziyaadati ke taur par aisa (qatal wa khoon) karega toh hum us ko aag (jahannam) mein daakhil kareinge”.* [Quran: Chapter/Surah-e-Nisa: Verse/Ayat no. 30]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya : *”2 gunaah aise hain jin ki saza Allah Ta'ala dunya hi mein jaldi de dete hain. (1) Zulm (2) Maan baap ki naafarmaani”.* [Book of Jaamiul Ahaadees, 583]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
----- Please visit our NEW BlogSpot

*WhatsApp Groups*

*Telegram Channel:*

► *LIKE, FOLLOW & SHARE this Page:*


•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *Subscribe to our Youtube channels:*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Kisi se khauff ya khatre ke waqt padhne ki dua