Aqeeqe ke liye ladke ki taraf se do bakre hain hai aur ladki ki taraf se ek

* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: * “Aqeeqe ke liye ladke ki taraf se do bakre hain hai aur ladki ki taraf se ek...” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu): ✦ Hazrat Umm Kurz (radi Allahu anha) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “(Aqeeqe ke liye) ladke ki taraf se do bakre hain hai aur ladki ki taraf se ek, aur isse koi farq nahi padhta ki wo (bakre) nar (male) ho ya mada (female)”. * [Sunan Abu Dawood, Vol 2, 1062-Sahih] ✦ Hazrat Samurah ibn Jundub (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Har ladka apne aqeeqe ke badle mein girwi rakha hua hai, isliye uski taraf se saatwe din Qurbani ki jaye aur uska sar mundwaya jaye aur uska naam rakha jaye”. * [Sunan Abu Dawood, Vol 2, 1065-Sahih] ✦ Hazrat Salman bin Amir (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Ladk...