Daily Calendar Hadiths - 30 January

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
   ► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“ Haraam cheezon se bacho, tum sab se bade ibaadat guzaar ban jaaoge”.* (Book of Tirmizi : Hadees No. 2305)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *"Allah ke nazdeek yeh baat badi qaabile nafrat hai ke tum aisi baat kaho jo karo nahi”.* (Quran: Chapter/Surah-As-Saffat: Verse/Ayat no. 03)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“ Jab aadmi apni biwi ko paani pilaata hai to us par bhi sawaab diya jaata hai”.* (Book of Musnade Ahmed : Hadees No. 17155)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“ Allah Ta’ala farmaata hai: Jis ne paani ka kunwaan khudwaaya aur us se kisi pyaase parinde, jinn ya insaan ne paani piya, toh qayaamat ke din Allah Ta’ala us ko sawaab ata farmaayega”.* (Book of Sahi-ibn-e-Khuzaima : Hadees No. 1292)
/div>
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ►Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: : *"Jo shakhs zulm wa ziyaadati ke taur par aisa (naahaq maal kaana, qatl wa khoon) karega to ham us ko aag (Jahannam) mein daakhil karenge aur yeh baat Allah ke liye bahot aasaan hai”.* (Quran: Chapter/Surah-E-Nisa: Verse/Ayat no. 30)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
*WhatsApp Groups*

 --- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_ 

LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/ 
LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•