Daily Calendar Hadiths - 25 December
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *“Sab se zyada izzat waala Allah hai, is liye Us ne khuli ya chhupi har tarah ki be-hayaai ko haraam qaraar diya hai”.* (Book of Bukhari: Hadees No. 4637) •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: : *”Insaan ke liye sab se ziyaada paakeeza maal woh hai jo us ne khud kamaaya ho”.* (Book of Abu Daaood: Hadees No.3527) •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Yateemon ko un ke maal de diya karo aur kharaab maal ko achchhe maal se tabdeel na kiya karo”.* (Quran: Chapter/Surah-e-Nisa: Verse/Ayat no. 2) •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: **”4 cheezein khush naseebi ki alaamat hain : (1) Nek biwi (2) Bada makaan...