Daily Calendar Hadiths - 24 December

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *“Ek doosre ko tohfa diya karo, kioki tohfa dil ke kine ko khatam kar deta hai”.* (Book of Tirmizi: Hadees No. 2130)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  
  ► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: : *”Sab se ziyaada jahannam mein le jaane waali cheez “Ajwafaan” yaani pet aur sharmgaah hain”.* (Book of Ibne Maaja: Hadees No.4246)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Sab se afzal sadqa woh hai jo aise rishtedaar par kiya jaaye jis ne dil mein dushmani chhupa rakhi ho”.* (Book of Shoabul Imaan: Hadees No.3427)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya:*“Agar tum sadqaat ko zaahir kar ke do, tab bhi achcha hai; aur agar un ko chupa kar gareebon ko de do, toh yeh tumhaare haq mein ziyaada behtar hai”.* (Quran: Chapter/Surah-e-Baqarah: Verse/Ayat no. 271)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
 ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *”Bhoole bhatke aadmi ko sahi raasta bataana sadqa hai”.* (Book of Tirmizi: Hadees No.1956)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  
 
*WhatsApp Groups*

 --- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_ 

LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/ 
LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Aakhri ashre mein Qayam Al Lail (Tahajjud) ki namaz

“Zakat-ul-Fitr Ghulam aur Azaad, Mard aur Aurat, Chotey aur Badey tamaam Musalmano par farz hai.”

Iss dua ko raat ko padhne ke baad agar maut bhi aajaye to Islam par hogi