Daily Calendar Hadiths - 21 December

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Dus saal ki umar mein (bahen bhai ko) alag alag bistaron par sulaao”.* [Book of Abu Dawood: Hadees No. 495]


   ► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ney farmaya: *”Jab aadmi koi baat bataate waqt idhar udhar dekhe, to sun ne waale ke liye woh baat (raaz aur) amaanat hai”.* (Book of Abu Daaood: Hadees No.4868)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya:*“Qasmon ko pukhta karne ke baad unhein mat todo”.* (Quran: Chapter/Surah-e-Nehel: Verse/Ayat no. 91)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
 ► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Insaan mein sab se buri baat laalach aur ghabra dene waali buzdili hai”.* (Book of Abu Daaood: Hadees No.2511)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya:*”Maal kharch karo, gin gin kar na rakho, warna Allah Ta’ala bhi tum ko gin gin kar dega (phir rozi se barkat khatm ho jaayegi) aur maal ko rok kar na rakho, warna Allah Ta’ala tum se rizq ko rok lega”.* (Book of Bukhaari: Hadees No.2591)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  
 
*WhatsApp Groups*

 --- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_ 

LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/ 
LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Aakhri ashre mein Qayam Al Lail (Tahajjud) ki namaz

“Zakat-ul-Fitr Ghulam aur Azaad, Mard aur Aurat, Chotey aur Badey tamaam Musalmano par farz hai.”

Iss dua ko raat ko padhne ke baad agar maut bhi aajaye to Islam par hogi