Daily Calendar Hadiths - 25 November
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jo Allah ko naaraaz karke logon ko raazi karna chaahega, to Allah Ta’ala us ko logon ke hawaale kar dega”.* (Book of Tirmizi: Hadees No. 6774) •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Baap ke saath achchhe sulook ka aala darja yeh hai ke us ki wafaat ke baad us ke milne julne waalon ke saath achchha sulook kare".* ( Book of Muslim: Hadees No. 6679) •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: : *“Agar insaan ke paas maal-o-daulat ke 2 jungal bhi ho jaaein to woh teesre ki khwaahish karega aur insaan ka pet to qabr ki mitti hi bhar sakti hai".* (Book of Bukhaari: Hadees No. 6436) •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallal...