Daily Calendar Hadiths - 25 November
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jo Allah ko naaraaz karke logon ko raazi karna chaahega, to Allah Ta’ala us ko logon ke hawaale kar dega”.* (Book of Tirmizi: Hadees No. 6774)
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya:
*“Baap ke saath achchhe sulook ka aala darja yeh hai ke us ki wafaat ke baad us ke milne julne waalon ke saath achchha sulook kare".* ( Book of Muslim: Hadees No. 6679)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: : *“Agar insaan ke paas maal-o-daulat ke 2 jungal bhi ho jaaein to woh teesre ki khwaahish karega aur insaan ka pet to qabr ki mitti hi bhar sakti hai".* (Book of Bukhaari: Hadees No. 6436)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Insaan ke qadam qayaamat ke din Allah ke saamne se us waqt tak nahi hateinge jab tak ke us se us ki jawaani ke baare mein sawaal na kar liya jaaye ke us ko kahaan kharch kiya".* (Book of Tirmizi: Hadees No. 2416)
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya:
*“Neki achchhe akhlaaq ka naam hai aur gunaah woh hai jo tere dil mein khatke aur tujhe achchha na lage ke logon ko us ki khabar ho".*
(Book of Muslim: Hadees No. 6680)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
*WhatsApp Groups*
https://chat.whatsapp.com/EasWThLjiWrD8Qy0XJbZUU _(ONLY FOR MALES)_
https://chat.whatsapp.com/Jz8yourlsC18wSfsmY0hOE _(ONLY FOR FEMALES)_
--- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_
► LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/
►LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•




