Daily Calendar Hadiths - 23 November

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *"Paak daaman aurton par zina ki tohmat lagaane ki bahot badi saza hai”.* (Quran: Chapter/Surah-e-Noor: Ayat no.14-Mafhoom)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Har gunaah se bacho, kyun ke gunaah ki wajah se Allah Ta'ala ka gussa naazil hota hai".* ( Book of Musnade Ahmed: Hadees No. 22075)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: : *“Jab aadmi hamesha sach bolta hai aur sach bolna us ki aadat ban jaati hai to Allah ke nazdeek Siddique (sachcha) likh diya jaata hai".* (Book of Muslim: Hadees No. 6805)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya:  *“Woh shakhs jannat mein nahi jaayega, jis ke dil mein zarrah baraabar bhi takabbur (ghamand) hoga".* (Book of Muslim: Hadees No. 275)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
 ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney : *“Mardon jaisi shakl wa soorat aur libaas ikhtiyaar karne waali aurton par laanat farmaayi hai".* (Book of Bukhari: Hadees No. 5885)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
*WhatsApp Groups*

 --- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_ 

LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/ 
LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•