Daily Calendar Hadiths - 22 January 2023

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Apne ghar waalon par kharch karna bhi sawaab ka kaam hai”.* [Book of Bukhari, 4006]
https://youtu.be/i2a1Ustl9fo
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Khaane ki sab se buri cheez yateem ka maal hai”.* [Book of Kanzul Ummaal, 43587]
https://youtu.be/t8T_f62fOi4
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
 Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *“Jis se kisi muaamle mein mashwarah kiya jaaye, woh us mein ameen (amaanatdaar) hai (lihaaza amaanat-daari ke saath mashwarah do)”.* [Book of Tirmizi, 2822]
https://youtu.be/BUTORldjY-Y
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *"Hum ne insaan ko apne maa baap ke saath achchha bartaao karne ka takeedi hukum diya hai”.* [Quran, Chapter/Surah Ahqaf: Verse/Ayat no. 15]
https://youtu.be/v9b7kiAkNYU
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *"Jo log apne maal Allah ke raaste mein kharch karte hain phir kharch karne ke baad na ehsaan jatlaate hain aur na koi takleef pohnchaate hain, woh apne parwardigaar ke paas apna sawaab paayenge”.* [Quran, Chapter/Surah-e-Baqarah: Verse/Ayat no. 262]
https://youtu.be/I-CzjYDbGlU
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80