Daily Calendar Hadiths - 31 October 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *Dunyawi zindagi mein un ki rozi Hum (Allah) ne hi taqseem kar rakhi hai".* [Al-Quran, Chapter/Surah Zukhruf, Verse/Ayat - 32]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Logon ki daulat ko lalchaayi nazron se mat dekho (apni qismat ki rozi par raazi ho jaao)".* [Book of Mishkaat, Hadees No. 5226]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jo shakhs apni zabaan aur sharmgaah ki hifaazat ki zimmedaari le le, main us ke liye Jannat ki zimmedaari leta hoon".* [Book of Bukhari, 6474]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Dunyavi zindagi mwin un ki rozi hun (Allah) ne taqseem (distribute) kar rakhi hai aue ek ko doosre oar martabe ke aitebaar se fazeelat de rajhi hai, taake ek doosre se kaam leta rahe”.* [Quran, Chapter/Surah Zukruf: Verse/Ayat no. 32]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Yeh duniyawi zindagi toh (jannat ke muqaable mein) dhoke ke saamaan ke siwa kuch h bhi nahin”.* [Quran, Chapter/Surah Aal-e-Imran: Verse/Ayat no. 185]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
-----Please visit our NEW BlogSpot 

*WhatsApp Groups*

*BlogSpot:*

*Telegram:*

► *LIKE, FOLLOW & SHARE this Page:*


•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *Subscribe to our Youtube channels:*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Allah se Aulad maangne ki Dua

Hurmat wale mahine chaar (4) hain aur inmein apne upar zulm na karo

Subah, Shaam aur Pareshani ke waqt padhne ki dua