Daily Calendar Hadiths - 28 September 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Apni taaqat aur haisiyat ke mutaabiq apne ghar waalon par kharch kiya karo".* [Book of Musnad-e-Ahmed, 21570]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
 Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *"Tum mein se jo log imaan laaye hain aur unhon ne (Allah ke raaste mein) kharch kiya hai, un ke liye bada sawaab hai".* [Al-Quran, Chapter/Surah-e-Hadid, Verse/Ayat no. 07]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
 Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Jis shakhs mein amaanatdaari nahin, us mein Imaan nahin".* [Book of Sho'abul Imaan, 4354]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Jo shakhs logon ka shukriya ada na kare, woh Allah ka bhi shukr ada karne waala nahin ho sakta".* [Book of Jami At-Tirmizi, 1954]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80