Daily Calendar Hadiths - 27 September 2022

 *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Shaadi karne mein maal wa daulat, husn wa jamaal aur hasab wa nasab ko tarjih na do, balke deendaar aurat se shaadi karke kaamyaab ho jao".* [Book of Bukhari, 5090]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *"Ek shakhs ne apne aap ko qatl kar liya (khudkushi karli), to Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ne us ki namaaze janaaza nahein padhi *“.* [Book of Tirmizi, 1068]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
 Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *"(Musalmaano)!) Jab tum logon ke darmiyaan faisla karo to insaaf ke saath faisla karo".* [AL-Quran, Chapter/Surah-e-Nisa, Verse/Ayat no. 58]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *"Tum mujh ko yaad karo, main tum ko yaad rakhunga aur mera shukr ada karte raho aur meri na farmaani na kiya karo".* [Al-Quran, Chapter/Surah-e-Baqarah, Verse/Ayat no. 152]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80