Daily Calendar Hadiths - 30 June 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Agar koi gunaah ke kaam ki taraf bulaaye, tou us ki baat mat maano ”.* [Book of Bukhari, 7257]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Qur'aan ki tilaawat kiya karo, is liye ke yeh qiyaamat ke din tilaawat karne waalon ke haq mein sifaarish karega ”.* [Book of Muslim, 1874]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Tum mein sab se achchhe log woh hain jo qarz mi adaaigi ke muaamle mein achchhe hon”.* [Book of Muslim, 4195]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Allah Ta'ala raat ko apna haath phailaata hai, taake din ke gunehgaar tauba kar lein, aur din ko haath philaata hai taake raat ke gunehgaar tauba kar lein”.*  [Book of Muslim, 2759]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jo shakhs sood ke zariye apna maal badhaata hai, to us ka anjaam gurbat hai”.*  [Book of Sunan ibn e Maaja, 2279]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80