Daily Calendar Hadiths - 29 June 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Apne ghar waalon par kharch karna bhi sawaab ka kaam hai”.* [Book of Bukhari, 4006]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jo shakhs Allah aur aakhirat ke din par imaan rakhta ho, to use chaahiye ke apne padosi ka ikraam karein”.* [Book of Bukhari, 6019]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Aye Imaan waalo! Allah aur Rasool se be-wafaayi mat karo aur jaante boojhte apni amaanaton mein khayaanat mat karo".* [Quran, Chapter/ Surah-Anfal: Verse/Ayat no. 27]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Har ummat ke liye ek fitna (aazmaish) hota hai aur meri ummat ka fitna (aazmaaish) maal hai”.* [Book of Tirmizi Hibbaan, 2336]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Rahman (Allah) ka bande woh hain jo zameen par aajizi se chalta hai".* [Quran, Chapter/ Surah-Furqaan: Verse/Ayat no. 63]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80