Daily Calendar Hadiths - 27 June 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jab tum mein se koi so kar uthe, to bartan mein haath daalne se pehle haathon ko dhole”.* [Book of Bukhari, 162]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *"Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne sharaab bechne waale par laanat farmaayi hai”.* [Book of Jamaiat-Trimizi, 1295]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Agar koi tumhaare saath bhalaai ka muaamla kare, to tum us ko us ka badla do”.* [Book of Nasai, 2568]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Gaali-galoch karne waale dono shaitaan hain, woh ek doosre par ilzaam lagaate aur jhooth bolte hain”.* [Book of Musnad-e-Ahmed, 17483]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Tanhaai bure saathi se behtar hai aur nek saathi tanhaai se behtar hai”.* [Book of Sho'abul Imaan, 4993]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80