Daily Calendar Hadiths - 24 June 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Apne bhai se muskura kar milne ka sawaab sadqe ke baraabar hai”.* [Book of Tirmizi, 1956]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Jo kuch tumhaare paas hai, woh sab khatm ho jaayega aur jo kuch Allah ke paas hai, woh baaqi rehne waala hai ".* [Quran, Chapter/ Surah - an - Nahl: Verse/Ayat no. 96]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Bhoole bhatke aadmi ko sahi raasta bataana sadqa hai”.* [Book of Tirmizi, 1956]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jo chaandi ke bartan mein paani wagaira peete hain, woh apne pet mein jahannam ki aag bhar rahe hein”.* [Book of Bukhari, 5634]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Sab se afzal sadqa woh hai jo aise rishtedaar par kiya jaaye jis ne dil mein dushmani chhupa rakhi ho”.* [Book of Sho'abul Imaan, 3427]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80